saz-e-suKHan bahana hai
ġhubār-e-sub.h-o-shām meñ
tujhe to kyā
maiñ apnā aks dekh luuñ maiñ apnā ism soch luuñ
nahīñ mirī majāl bhī
ki laḌkhaḌā ke rah gayā mirā har ik savāl bhī
mirā har ik ḳhayāl bhī
maiñ bhī be-qarār o ḳhasta-tan
bas ik sharār-e-ishq merā pairahan
mirā nasīb ek harf-e-ārzū
vo ek harf-e-ārzū
tamām umr sau tarah likhūñ
mirā vajūd ik nigāh-e-be-sukūñ
nigāh jis ke paañv meñ haiñ beḌiyāñ paḌī huī
ghubar-e-subh-o-sham mein
tujhe to kya
main apna aks dekh lun main apna ism soch lun
nahin meri majal bhi
ki laDkhaDa ke rah gaya mera har ek sawal bhi
mera har ek KHayal bhi
main bhi be-qarar o KHasta-tan
bas ek sharar-e-ishq mera pairahan
mera nasib ek harf-e-arzu
wo ek harf-e-arzu
tamam umr sau tarah likhun
mera wajud ek nigah-e-be-sukun
nigah jis ke panw mein hain beDiyan paDi hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.