sab se baDi ghalati
āñkhoñ ne mujhe dhokā diyā
to maiñ ne un meñ
banjar mausamoñ kī salā.iyāñ pher diiñ
lafzoñ ne mujhe dhokā diyā
to maiñ ne zabān ko
chup kī qabr meñ utaar diyā
ḳhayāloñ ne mujhe dhokā diyā
magar maiñ ne unheñ maaf kar diyā
ye soch kar ki agar sab se
ek jaisā sulūk kartā rahā
to mere saath kaun rah jā.egā
yahīñ maiñ ne zindagī kī sab se baḌī ġhalatī kī
ḳhayāl mujhe shā.erī se duniyā kī taraf le ga.e
unhoñ ne mere peT par bhuuk bāñdh dī
aur phir ek roTī ke evaz
mujhe qatl karā diyā
aankhon ne mujhe dhoka diya
to main ne un mein
banjar mausamon ki salaiyan pher din
lafzon ne mujhe dhoka diya
to main ne zaban ko
chup ki qabr mein utar diya
KHayalon ne mujhe dhoka diya
magar main ne unhen maf kar diya
ye soch kar ki agar sab se
ek jaisa suluk karta raha
to mere sath kaun rah jaega
yahin main ne zindagi ki sab se baDi ghalati ki
KHayal mujhe shaeri se duniya ki taraf le gae
unhon ne mere peT par bhuk bandh di
aur phir ek roTi ke ewaz
mujhe qatl kara diya
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 433)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.