sabaat ek taghayyur ko hai zamane mein
uTho
siile kamre se bāhar ko niklo
vahāñ hai zamāna taġhayyur-pazīr
ki ham chāh-e-tārīk meñ
apnī āñkheñ na kho deñ
uTheñ jab
to sab chīzeñ badlī mileñ
aur saare tamāshe hameñ
ajnabī aañkh se ghūrte ham se pūchheñ
ki tum kaun ho
kis ajā.ib-kade se nikal aa.e ho
aur jab
apnī jebeñ TaToleñ
to sikke hamāre zar-o-sīm ke
qīmateñ kho chuke hoñ
hameñ ye ḳhabar mil rahī ho
ki ham ahd-e-rafta ke sahrā-e-hū meñ kahīñ
apne mauhūm-o-mub.ham hayūle kī bhī
jaane kab kī nafī kar chuke
uTho
sile kamre se bahar ko niklo
wahan hai zamana taghayyur-pazir
ki hum chah-e-tarik mein
apni aankhen na kho den
uThen jab
to sab chizen badli milen
aur sare tamashe hamein
ajnabi aankh se ghurte hum se puchhen
ki tum kaun ho
kis ajaib-kade se nikal aae ho
aur jab
apni jeben TaTolen
to sikke hamare zar-o-sim ke
qimaten kho chuke hon
hamein ye KHabar mil rahi ho
ki hum ahd-e-rafta ke sahra-e-hu mein kahin
apne mauhum-o-mubham hayule ki bhi
jaane kab ki nafi kar chuke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.