sabhi kuchh miTa den
saḌkoñ pe nāliyāñ
kamroñ meñ makḌī ke jaale
be-ma.anī shāmeñ
be-matlab sahar ke ujāle
raushnī phailī
khiḌkiyāñ khulīñ
gungunāhaTeñ jāgeñ
saḌkoñ par jī uThā
phir ek shahr
band ho ga.iiñ sarsarāhaTeñ
jheleñge sab
sar hai āsmān ke havāle
farsh par gire ghoñsle
bikhar gayā tinkoñ kā melā
lākhoñ ḳhabroñ kī bhiiḌ meñ
ek ḳhabar hai
akelī
aao sabhī kuchh miTā deñ
saDkon pe naliyan
kamron mein makDi ke jale
be-mani shamen
be-matlab sahar ke ujale
raushni phaili
khiDkiyan khulin
gungunahaTen jagen
saDkon par ji uTha
phir ek shahr
band ho gain sarsarahaTen
jhelenge sab
sar hai aasman ke hawale
farsh par gire ghonsle
bikhar gaya tinkon ka mela
lakhon KHabron ki bhiD mein
ek KHabar hai
akeli
aao sabhi kuchh miTa den
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 21)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.