sabz se safed mein aane ka gham
nazar uThā.ūñ
to sañg-e-marmar kī kor be-his
safed āñkheñ
nazar jhukā.ūñ to sher-e-qālīn ghūrtā hai
mire liye is mahl meñ āsūdgī nahīñ hai
koī mujhe in safed patthar ke gumbadoñ se rihā kirā.e
maiñ ik sadā huuñ
magar yahāñ guñg ho gayā huuñ
mire liye to
unhīñ daraḳhtoñ ke sabz gumbad meñ shāñtī thī
jahāñ mirī baat gūñjtī thī
nazar uThaun
to sang-e-marmar ki kor be-his
safed aankhen
nazar jhukaun to sher-e-qalin ghurta hai
mere liye is mahl mein aasudgi nahin hai
koi mujhe in safed patthar ke gumbadon se riha kirae
main ek sada hun
magar yahan gung ho gaya hun
mere liye to
unhin daraKHton ke sabz gumbad mein shanti thi
jahan meri baat gunjti thi
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.