sabza-e-begana
hasab-nasab hai na tārīḳh o jā-e-paidā.ish
kahāñ se aayā thā maz.hab na valdiyat ma.alūm
maqāmī chhoTe se ḳhairātī aspatāl meñ vo
kahīñ se laayā gayā thā vahāñ ye hai marqūm
marīz rātoñ ko chillātā hai ''mire andar
asiir zaḳhmī parinda hai ik, nikālo ise
gulū-girafta hai ye habs-e-dam hai ḳhā.if hai
sitam-rasīda hai mazlūm hai bachā lo ise''
marīz chīḳhtā hai dard se karāhtā hai
ye vietnam, kabhī dominican, kabhī kashmīr
zar-e-kasīr, siyah qaumeñ, ḳhaam madniyāt
kasīf tel ke chashme, avām, istehsāl
zamīñ kī maut bahā.im, fizā.ī jañg, sitam
ijāra-dārī, subuk gaam, dilrubā, atfāl
sarod-o-naġhma, adab, sher, amn, barbādī
janāza ishq kaa, daf kī sadā.eñ, murda ḳhayāl
taraqqī, ilm ke gahvāre, ruuh kā madfan
ḳhudā kā qatl, ayaañ zer-e-nāf zohra jamāl
tamām raat ye be-rabt bāteñ kartā hai
marīz saḳht pareshānī kā sabab hai yahāñ
ġharaz ki jo thā shikāyat kā ek daftar thā
natīja ye hai usī roz muntaqil karke
use ik aur shifā-ḳhāne ko ravāna kiyā
sunā gayā hai vahāñ nafsiyāt ke māhir
tabīb hāziq o nabbāz doctor kitne
talab kiye ga.e aur sab ne ittifāq kiyā
ye koī zehnī maraz hai, marīz ne shāyad
kabhī parinda koī paalā hogā lekin vo
adam-e-tavajjohī yā ittifāq se yūñhī
bichāra mar gayā us maut kā asar hai ye
ajiib chiiz hai taht-e-shu.ūr insāñ kā
ye aur kuchh nahīñ ehsās-e-jurm hai jis ne
dil o dimāġh pe qabza kiyā hai is darja
marīz qātil o mujrim samajhtā hai ḳhud ko!
kisī kī raa.e thī pasmāñda qaum kā ik fard
marīz hogā isī vāste siyah qaumeñ
ġharīb ke liye ik tabō ban ga.iiñ afsos
koī ye kahtā thā ye asal meñ hai hubb-e-vatan
marīz chāhtā thā ham kafīl hoñ apne
kisī bhī qaum ke aage na haath phailā.eñ
yahīñ pe tel ke chashme haiñ, vo kareñ daryāft!
gumān kuchh ko thā ye shaḳhs koī shā.er hai
jo chāhtā thā jahāñ-gardī meñ guzāre vaqt
hasīn aurteñ maa.il hoñ lutf-o-aish rahe
qalam ke zor se shohrat mile zamāne meñ
zar-e-kasīr bhī haath aa.e is bahāne se
magar ġharīb kī sab koshisheñ ga.iiñ nākām
shikast-e-paiham o ehsās-e-nā-rasā.ī ne
ye haal kar diyā majrūh hoga.e a.asāb
ġharaz ki nukta-rassī meñ guzar gayā sab vaqt
vo chīḳhtā hī rahā dard kī davā na milī
nashist ba.ad nashist aur muā.ene shab o roz
inhīñ meñ vaqt guzartā gayā shifā na milī
phir ek shaam vahāñ surma-dar-gulū aa.ī
jo us ke vāste goyā tabīb-e-hāziq thī
kisī ne phir na sunī dard se bharī āvāz
karāhtā thā jo ḳhāmosh ho gayā vo saaz
baras guzar ga.e is vāqi.e ko, maazī kī
añdherī god ne kab kā chhipā liyā us ko
magar sunā hai shifā-ḳhāne ke dar-o-dīvār
vo gird-o-pesh jahāñ se kabhī vo guzrā thā
ḳharābe bastiyāñ jañgal, ujaaḌ rāh-guzār
usī kī chīḳh ko dohrā.e jā rahe haiñ abhī
''koī mudāvā karo zālimo mire andar
asiir zaḳhmī parinda hai ik nikālo ise
gulū-girafta hai ye habs-e-dam hai ḳhā.if hai
sitam-rasīda hai mazlūm hai bachā lo ise''
hasab-nasab hai na tariKH o ja-e-paidaish
kahan se aaya tha mazhab na waldiyat malum
maqami chhoTe se KHairaati aspatal mein wo
kahin se laya gaya tha wahan ye hai marqum
mariz raaton ko chillata hai mire andar
asir zaKHmi parinda hai ik, nikalo ise
gulu-girafta hai ye habs-e-dam hai KHaif hai
sitam-rasida hai mazlum hai bacha lo ise
mariz chiKHta hai dard se karahta hai
ye wietnam, kabhi dominican, kabhi kashmir
zar-e-kasir, siyah qaumen, KHam madniyat
kasif tel ke chashme, awam, istehsal
zamin ki maut bahaim, fizai jang, sitam
ijara-dari, subuk gam, dilruba, atfal
sarod-o-naghma, adab, sher, amn, barbaadi
janaza ishq ka, daf ki sadaen, murda KHayal
taraqqi, ilm ke gahware, ruh ka madfan
KHuda ka qatl, ayan zer-e-naf zohra jamal
tamam raat ye be-rabt baaten karta hai
mariz saKHt pareshani ka sabab hai yahan
gharaz ki jo tha shikayat ka ek daftar tha
natija ye hai usi roz muntaqil karke
use ek aur shifa-KHane ko rawana kiya
suna gaya hai wahan nafsiyat ke mahir
tabib haziq o nabbaz doctor kitne
talab kiye gae aur sab ne ittifaq kiya
ye koi zehni maraz hai, mariz ne shayad
kabhi parinda koi pala hoga lekin wo
adam-e-tawajjohi ya ittifaq se yunhi
bichaara mar gaya us maut ka asar hai ye
ajib chiz hai taht-e-shuur insan ka
ye aur kuchh nahin ehsas-e-jurm hai jis ne
dil o dimagh pe qabza kiya hai is darja
mariz qatil o mujrim samajhta hai KHud ko!
kisi ki rae thi pasmanda qaum ka ek fard
mariz hoga isi waste siyah qaumen
gharib ke liye ek taboo ban gain afsos
koi ye kahta tha ye asal mein hai hubb-e-watan
mariz chahta tha hum kafil hon apne
kisi bhi qaum ke aage na hath phailaen
yahin pe tel ke chashme hain, wo karen daryaft!
guman kuchh ko tha ye shaKHs koi shaer hai
jo chahta tha jahan-gardi mein guzare waqt
hasin aurten mail hon lutf-o-aish rahe
qalam ke zor se shohrat mile zamane mein
zar-e-kasir bhi hath aae is bahane se
magar gharib ki sab koshishen gain nakaam
shikast-e-paiham o ehsas-e-na-rasai ne
ye haal kar diya majruh hogae aasab
gharaz ki nukta-rassi mein guzar gaya sab waqt
wo chiKHta hi raha dard ki dawa na mili
nashist baad nashist aur muaene shab o roz
inhin mein waqt guzarta gaya shifa na mili
phir ek sham wahan surma-dar-gulu aai
jo us ke waste goya tabib-e-haziq thi
kisi ne phir na suni dard se bhari aawaz
karahta tha jo KHamosh ho gaya wo saz
baras guzar gae is waqie ko, mazi ki
andheri god ne kab ka chhipa liya us ko
magar suna hai shifa-KHane ke dar-o-diwar
wo gird-o-pesh jahan se kabhi wo guzra tha
KHarabe bastiyan jangal, ujaD rah-guzar
usi ki chiKH ko dohrae ja rahe hain abhi
koi mudawa karo zalimo mere andar
asir zaKHmi parinda hai ek nikalo ise
gulu-girafta hai ye habs-e-dam hai KHaif hai
sitam-rasida hai mazlum hai bacha lo ise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.