sach hi likhte jaana
denā paḌe kuchh hī harjāna sach hī likhte jaanā
mat ghabrānā mat Dar jaanā sach hī likhte jaanā
bātil kī muñh-zor havā se jo na kabhī bujh paa.eñ
vo sham.eñ raushan kar jaanā sach hī likhte jaanā
pal do pal ke aish kī ḳhātir kyā denā kyā jhuknā
āḳhir sab ko hai mar jaanā sach hī likhte jaanā
lauh-e-jahāñ par naam tumhārā likhā rahegā yūñhī
'jālib' sach kā dam bhar jaanā sach hī likhte jaanā
dena paDe kuchh hi harjaana sach hi likhte jaana
mat ghabrana mat Dar jaana sach hi likhte jaana
baatil ki munh-zor hawa se jo na kabhi bujh paen
wo shamen raushan kar jaana sach hi likhte jaana
pal do pal ke aish ki KHatir kya dena kya jhukna
aaKHir sab ko hai mar jaana sach hi likhte jaana
lauh-e-jahan par nam tumhaara likha rahega yunhi
'jalib' sach ka dam bhar jaana sach hi likhte jaana
- Book : Kulliyat Habeeb Jalib (Pg. 266)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.