sach kaho
sach kaho sach kaho hamesha sach
hai bhale-mānasoñ kā pesha sach
sach kahoge to tum rahoge aziiz
sach to ye hai ki sach hai achchhī chiiz
sach kahoge to tum rahoge shaad
fikr se paak rañj se āzād
sach kahoge tum rahoge diler
jaise Dartā nahīñ dilāvar sher
sach se rahtī hai taqviyat dil ko
sahl kartā hai saḳht mushkil ko
sach hai saare muāmaloñ kī jaan
sach se rahtā hai dil ko itminān
sach meñ rāhat hai aur āsānī
sach se hotī nahīñ pashemānī
sach hai duniyā meñ nekiyoñ kī jaḌ
sach na ho to jahān jaa.e ujaḌ
sach kahoge to dil rahegā saaf
sach karā degā sab qusūr muaaf
sach se zinhār dar-guzar na karo
dil meñ kuchh ḳhauf aur ḳhatar na karo
jis ko sach bolne kī aadat hai
vo baḌā nek bā-sa.ādat hai
vahī daanā hai jo ki hai sachchā
is meñ buDDhā ho yā koī sachchā
hai burā jhuuT bolne vaalā
aap kartā hai apnā muñh kaalā
fā.eda us ko kuchh na degā jhuuT
jā.egā ek roz bhāñDā phuuT
jhuuT kī bhuul kar na Daalo ḳhū
jhuuT zillat kī baat hai āḳh-thū
sach kaho sach kaho hamesha sach
hai bhale-manason ka pesha sach
sach kahoge to tum rahoge aziz
sach to ye hai ki sach hai achchhi chiz
sach kahoge to tum rahoge shad
fikr se pak ranj se aazad
sach kahoge tum rahoge diler
jaise Darta nahin dilawar sher
sach se rahti hai taqwiyat dil ko
sahl karta hai saKHt mushkil ko
sach hai sare muamalon ki jaan
sach se rahta hai dil ko itminan
sach mein rahat hai aur aasani
sach se hoti nahin pashemani
sach hai duniya mein nekiyon ki jaD
sach na ho to jahan jae ujaD
sach kahoge to dil rahega saf
sach kara dega sab qusur muaf
sach se zinhaar dar-guzar na karo
dil mein kuchh KHauf aur KHatar na karo
jis ko sach bolne ki aadat hai
wo baDa nek ba-saadat hai
wahi dana hai jo ki hai sachcha
is mein buDDha ho ya koi sachcha
hai bura jhuT bolne wala
aap karta hai apna munh kala
faeda us ko kuchh na dega jhuT
jaega ek roz bhanDa phuT
jhuT ki bhul kar na Dalo KHu
jhuT zillat ki baat hai aaKH-thu
- Book : kachhua aur khargosh (Pg. 9)
- Author : M.K.Pasha
- Publication : Educational publishing house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.