sach
vo kahtā hai
vo sach boltā hai
aisā sach jo dil ko chiir de
ruuh meñ shigāf Daal de
vo sach hī to kahtā hai
us ke sach bolne kī aadat se
kitne dil figār aur rūheñ chhalnī hotī haiñ
us ke sach kā zahr
roz vo nahīñ
maiñ hī piitī huuñ
us ke sach kā nishāna
maiñ hī bantī huuñ
use apnī haq-goī kā
koī in.aam sanad e.azāz milnā chāhiye
so maiñ ne apnā chhalnī dil
kāñToñ ke haar meñ piro kar
use pahnā diyā hai
zaḳhmoñ kā taaj banā kar
us ke sar par sajā diyā hai
wo kahta hai
wo sach bolta hai
aisa sach jo dil ko chir de
ruh mein shigaf Dal de
wo sach hi to kahta hai
us ke sach bolne ki aadat se
kitne dil figar aur ruhen chhalni hoti hain
us ke sach ka zahr
roz wo nahin
main hi piti hun
us ke sach ka nishana
main hi banti hun
use apni haq-goi ka
koi inam sanad eazaz milna chahiye
so main ne apna chhalni dil
kanTon ke haar mein piro kar
use pahna diya hai
zaKHmon ka taj bana kar
us ke sar par saja diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.