sachcha diya
apnī pichhlī sāl-girah par maiñ ye soch rahā thā
kitne diye jalā.ūñ maiñ?
kitne diye bujhā.ūñ maiñ?
mere andar dev.oñ kā aisā kab koī hañgāma thaa?
maiñ to sar se paañv talak ḳhud ek diye kā saaya thā
umr kī gintī ke vo diye sab
jhūTe the
be-ma.anī the
ek diyā hī sachchā thā
aur vo merī ruuh ke andar jaltā thā
apni pichhli sal-girah par main ye soch raha tha
kitne diye jalaun main?
kitne diye bujhaun main?
mere andar dewon ka aisa kab koi hangama tha?
main to sar se panw talak KHud ek diye ka saya tha
umr ki ginti ke wo diye sab
jhuTe the
be-mani the
ek diya hi sachcha tha
aur wo meri ruh ke andar jalta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.