sachchi baaton se khaDe sarkar ke hote hain kan
sachchi baaton se khaDe sarkar ke hote hain kan
Shameem Farooq Banspari
MORE BYShameem Farooq Banspari
sachchī bātoñ se khaḌe sarkār ke hote haiñ kaan
dhīre dhīre boliye dīvār ke hote haiñ kaan
dījiye mujh ko sazā paiġhāmbar kā kyā qusūr
garm kyoñ us mujrim-e-guftār ke hote haiñ kaan
baaġh meñ ġhuncha jo chaTkā maiñ ḳhushī se phuul uThā
āshnā kitne sadā-e-yār ke hote haiñ kaan
mai-kade meñ kyoñ na ḳhālī jaa.e phir vaa.iz kī baat
jab bhare pahle se har mai-ḳhvār ke hote haiñ kaan
daaġh siine ke na dikhlā nāla-e-pur-shor kar
muñh pe āñkhoñ kī jagah sarkār ke hote haiñ kaan
pūchhtā 'fārūq' shaiḳh-e-madrasa miltā agar
band kyā har sāhab-e-dastār ke hote haiñ kaan
sachchi baaton se khaDe sarkar ke hote hain kan
dhire dhire boliye diwar ke hote hain kan
dijiye mujh ko saza paighambar ka kya qusur
garm kyon us mujrim-e-guftar ke hote hain kan
bagh mein ghuncha jo chaTka main KHushi se phul uTha
aashna kitne sada-e-yar ke hote hain kan
mai-kade mein kyon na KHali jae phir waiz ki baat
jab bhare pahle se har mai-KHwar ke hote hain kan
dagh sine ke na dikhla nala-e-pur-shor kar
munh pe aankhon ki jagah sarkar ke hote hain kan
puchhta 'faruq' shaiKH-e-madrasa milta agar
band kya har sahab-e-dastar ke hote hain kan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.