sachchi kahani
daadī ammāñ jaldī aao
aa kar ek kahānī sunāo
aao baiTho paas hamāre
shāhī shālū pappī dulāre
ik bachcha thā nek aur achchhā
dil kā saaf zabāñ kā sachchā
maañ se apnī kar ke minnat
safar kī māñgī us ne ijāzat
maañ ne raqam sadrī meñ sī kar
kar diyā ruḳhsat aañsū pī kar
chalte chalte kī ye nasīhat
chāhe jitnī aa.e musībat
jhuuT kabhī lab par mat aa.e
chāhe jaan bhale hī jaa.e
chalā safar par jab vo bachcha
man kā saaf zabāñ kā sachchā
raste meñ kuchh Daaku aa.e
zulm-o-sitam har ik par Dhaa.e
āḳhir meñ bachche se pūchhā
paas tire jo kuchh ho batlā
bachche ne kuchh ḳhauf na khāyā
jo kuchh sach thā un ko batāyā
chiir ke sadrī raqam dikhā dī
maañ kī nasīhat un ko batā dī
bachche kī jo dekhī sadāqat
paa.ī us Daaku ne nasīhat
tauba bure kāmoñ se kar lī
aur īmān se jholī bhar lī
shaiḳh abdul-qādir jīlānī
duniyā unheñ is naam se jaanī
dadi amman jaldi aao
aa kar ek kahani sunao
aao baiTho pas hamare
shahi shaalu pappi dulare
ek bachcha tha nek aur achchha
dil ka saf zaban ka sachcha
man se apni kar ke minnat
safar ki mangi us ne ijazat
man ne raqam sadri mein si kar
kar diya ruKHsat aansu pi kar
chalte chalte ki ye nasihat
chahe jitni aae musibat
jhuT kabhi lab par mat aae
chahe jaan bhale hi jae
chala safar par jab wo bachcha
man ka saf zaban ka sachcha
raste mein kuchh Daku aae
zulm-o-sitam har ek par Dhae
aaKHir mein bachche se puchha
pas tere jo kuchh ho batla
bachche ne kuchh KHauf na khaya
jo kuchh sach tha un ko bataya
chir ke sadri raqam dikha di
man ki nasihat un ko bata di
bachche ki jo dekhi sadaqat
pai us Daku ne nasihat
tauba bure kaamon se kar li
aur iman se jholi bhar li
shaiKH abdul-qadir jilani
duniya unhen is nam se jaani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.