sada-e-tur
shahr-e-vīrāñ ke makīno
ye suno
tum faqat
naqsh-ba-dīvār rahe
mujh ko dekho ki maiñ
ā.īna banā
dekh rahā huuñ kab se
bahte dariyāoñ ke siine pe
jo mallāh haiñ kashtī meñ savār
aag lene ko
ka.ī baar ga.e the lekin
lauT aa.e the liye ko.elā aur raakh kā Dher
tuur se aa.ī sadā
aaj hairāñ huuñ ki jab
un kī vo kashtī huī
girdāb ke hāthoñ meñ asiir
Dūbte Dūbte
ubhre haiñ vo qindīl-ba-kaf
jis ke sho.ale kī zabāñ par hai likhā
maiñ ujāloñ kā naqīb
mujh ko thāme
jo baḌhoge
to suno
kal jahāñ
dhuup meñ lipTī thī
shaboñ kī rangat
aur jahāñ
ḳhvāb meñ
dīvāreñ kiyā kartī thiiñ
bāteñ ḳhud se
vahīñ
gūñjegī sadā kī ḳhushbū
qahqahe nuur ke
bikhreñge vahīñ
aaj phir
tuur se aatī hai sadā
shahr-e-vīrāñ ko
jo gulzār banānā hai
to phir
Duub jaane do unheñ
apne kaase meñ liye
ko.elā aur raakh kā Dher
aur agar vo jo kināre se lage
kaaT kar
sho.ala-e-afzūñ kī zabāñ
phir se kar leñge
ujāloñ ko asiir
shahr-e-viran ke makino
ye suno
tum faqat
naqsh-ba-diwar rahe
mujh ko dekho ki main
aaina bana
dekh raha hun kab se
bahte dariyaon ke sine pe
jo mallah hain kashti mein sawar
aag lene ko
kai bar gae the lekin
lauT aae the liye koela aur rakh ka Dher
tur se aai sada
aaj hairan hun ki jab
un ki wo kashti hui
girdab ke hathon mein asir
Dubte Dubte
ubhre hain wo qindil-ba-kaf
jis ke shoale ki zaban par hai likha
main ujalon ka naqib
mujh ko thame
jo baDhoge
to suno
kal jahan
dhup mein lipTi thi
shabon ki rangat
aur jahan
KHwab mein
diwaren kiya karti thin
baaten KHud se
wahin
gunjegi sada ki KHushbu
qahqahe nur ke
bikhrenge wahin
aaj phir
tur se aati hai sada
shahr-e-viran ko
jo gulzar banana hai
to phir
Dub jaane do unhen
apne kase mein liye
koela aur rakh ka Dher
aur agar wo jo kinare se lage
kaT kar
shoala-e-afzun ki zaban
phir se kar lenge
ujalon ko asir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.