sadaqat
vo ek shaam qalam kho gayā thā jab merā
bahut talāsh kiyā har taraf idhar ki udhar
magar qalam kā kahīñ par nishāñ na haath aayā
mirī talāsh mirī kashmakash se ghabrā kar
mirī vo chhoTī sī beTī mire qarīb aa.ī
ki jis ne likhnā abhī bas abhī hī sīkhā hai
mire havāle kiyā apnī ek pencil aur
kahā ki aap ise apne vāste rakhiye
magar ajiib sā jaadū hai us kī pencil meñ
sivā.e sach ke jo kuchh aur likh nahīñ paatī
vo ek shaam bahut chāhā kuchh likhūñ lekin
vo ek shaam ajab thī maiñ kuchh na likh paayā
wo ek sham qalam kho gaya tha jab mera
bahut talash kiya har taraf idhar ki udhar
magar qalam ka kahin par nishan na hath aaya
meri talash meri kashmakash se ghabra kar
meri wo chhoTi si beTi mere qarib aai
ki jis ne likhna abhi bas abhi hi sikha hai
mere hawale kiya apni ek pencil aur
kaha ki aap ise apne waste rakhiye
magar ajib sa jadu hai us ki pencil mein
siwae sach ke jo kuchh aur likh nahin pati
wo ek sham bahut chaha kuchh likhun lekin
wo ek sham ajab thi main kuchh na likh paya
- Book : Aathwa.n Darwaza (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.