saDak
saḌak masāfat kī ujlatoñ meñ
ghire hue sab musāfiroñ ko
ba-ġhaur fursat se dekhtī hai
kisī ke chehre pe surḳh vahshat chamak rahī hai
kisī ke chehre se zard hairat chhalak rahī hai
kisī kī āñkheñ harī-bharī haiñ
kabīr had se ubhar rahā hai
saġhīr qad se guzar rahā hai
kisī kā tyre kisī ke pahiye ko khā rahā hai
kisī kā juutā kisī kī chappal chabā rahā hai
kisī ke pairoñ meñ aa rahā hai kisī kā bachcha
kisī kā bachcha kisī ke shāne pe jā rahā hai
koī Thikāne pe koī khāne pe jā rahā hai
habīb dast-e-raqīb thāme
ġharīb-ḳhāne pe jā rahā hai
amiir piñjra banā rahā hai
ġhulām kartab dikhā rahā hai
aur apne beTe ke saath chhat par
amiin kunDā lagā rahā hai
nizām Tāñga chalā rahā hai
kisī kalā.ī pe jagmagātī huī ghaḌī hai
magar abhī vo rukī huī hai
kisī ke chehre pe baara bajne meñ pāñch second rah ga.e haiñ
kisī kī hāthī-numā prado
saḌak se aise guzar rahī hai
sivā.e is ke kahīñ bhī jaise koī nahīñ ho
kisī kī moñchheñ jhukī huī haiñ
kisī kī bāñchheñ khilī huī haiñ
kisī kī taxi kisī kī foksī milī huī haiñ
kisī ke lab aur kisī kī āñkheñ silī huī haiñ
kisī ke kapḌe phaTe hue haiñ
kisī kī pagḌī chamak rahī hai
kisī kī rañgat kisī kī Topī uḌī huī hai
sharīf nazreñ uThā uThā kar
kamān jismoñ pe apnī vahshat ke tiir kab se chalā rahā hai
nazīr nazreñ churā rahā hai
nafīs apne cluff kī shiknoñ ko ro rahā hai
hakīm apne matab ke shīshoñ ko dho rahā hai
kisī kī āñkhoñ ke dhuñdle shīshoñ meñ us ke maazī kī jhalkiyāñ haiñ
kisī kī āñkhoñ meñ aane vaale hasīn lamhoñ kī mastiyāñ haiñ
kisī kī āñkhoñ meñ rat-jagoñ kī kuchh arġhavānī sī Doriyāñ haiñ
kisī ke kāñdhe pe us ke ḳhvāboñ kī boriyāñ haiñ
kabāḌ-ḳhāne pe baasī TukḌoñ kī or kitāboñ kī boriyāñ haiñ
buzurg bargad ke nīche būḌhā khaḌā huā hai
aur us ke hāthoñ meñ tape lipTī huī chhaḌī hai
police kī gaaḌī pikiT lagā kar
saḌak pe tirchhī khaḌī huī hai
aur ek mazdūr apnā dāman uThā.e be-bas khaḌā huā hai
aur ik sipāhī ki us ke nefe meñ uñgliyoñ ko ghumā rahā hai
vahīñ pe shāhid siyāh chashma lagā ke ḳhud ko chhupā rahā hai
news channel kī chhoTī gaaḌī baḌī ḳhabar kī talāsh meñ hai
do sabzī vaale bhī apnī pherī lagā rahe haiñ
to phuul vaale ke sar pe phūloñ kī Tokarī hai
kisī kī āñkhoñ meñ naukrī hai
kisī kī āñkhoñ meñ chhokrī hai
vaqār sar ko jhukā rahā hai
farāz khaa.ī meñ jā rahā hai
to giilī cigarette ke kash lagā kar
navāb rickshaw chalā rahā hai
salīm kannī ghumā rahā hai
vakīl vardī meñ jā rahā hai
zamīr baġhleñ bajā rahā hai
aur ek vaa.iz batā rahā hai
ḳhudā ko nārāz karne vaale jahannamī haiñ
ḳhudā ko raazī karo ḳhudārā
ḳhudā ko raazī karo ḳhudārā
aur us ke aage nasīr akmal kamāl shādāb ġhulām saare
nazar jhukā.e khaḌe hue haiñ
ki chashm-e-bīnā agar kahīñ hai
to samjho pātāl tak gaḌhī hai
kisī ko a-c ḳharīdnā hai
kisī ko pī sī ḳharīdnā hai
kisī kī bas aur kisī kī bī-sī nikal rahī hai
aqīla ḳhāla ke donoñ hāthoñ meñ aaTh thaile laTak rahe haiñ
aur aate jaate sabhī musāfir
unheñ musalsal khaTak rahe haiñ
ziyā añdhere meñ jā rahā hai
gulāb kachrā jalā rahā hai
aziim makkhī aḌā rahā hai
kalīm guTkā chabā rahā hai
to ghanTa-package pe jaane kab se
fahīm gappeñ laḌā rahā hai
sabaq musāvāt kā sikhāne
vazīr gaaḌī meñ jā rahā hai
sanā nidā ko na.e latīfe sunā rahī hai
hinā hathelī ko takte takte purāne raste se aa rahī hai
aur apnī bhāvaj kā haath thāme
zubaida check-up ko jā rahī hai
vo apnī nazreñ kabhī idhar ko kabhī adhar ko gumā rahī hai
magar koī shai use musalsal bulā rahī rahī hai
ajiib ujlat ajiib vahshat ajiib ġhaflat kā mājrā hai
kahūñ maiñ kis se mire ḳhudāyā ye kaisī ḳhilqat kā mājrā hai
ki apnī mastī meñ mast ho kar
ye sab musāfir guzar rahe
na.e musāfir ubhar rahe haiñ
saḌak jahāñ thī vahīñ khaḌī hai
magar haqīqat bahut baḌī hai
saḌak pe billī marī paḌī hai
saDak masafat ki ujlaton mein
ghire hue sab musafiron ko
ba-ghaur fursat se dekhti hai
kisi ke chehre pe surKH wahshat chamak rahi hai
kisi ke chehre se zard hairat chhalak rahi hai
kisi ki aankhen hari-bhari hain
kabir had se ubhar raha hai
saghir qad se guzar raha hai
kisi ka tyre kisi ke pahiye ko kha raha hai
kisi ka juta kisi ki chappal chaba raha hai
kisi ke pairon mein aa raha hai kisi ka bachcha
kisi ka bachcha kisi ke shane pe ja raha hai
koi Thikane pe koi khane pe ja raha hai
habib dast-e-raqib thame
gharib-KHane pe ja raha hai
amir pinjra bana raha hai
ghulam kartab dikha raha hai
aur apne beTe ke sath chhat par
amin kunDa laga raha hai
nizam Tanga chala raha hai
kisi kalai pe jagmagati hui ghaDi hai
magar abhi wo ruki hui hai
kisi ke chehre pe bara bajne mein panch second rah gae hain
kisi ki hathi-numa prado
saDak se aise guzar rahi hai
siwae is ke kahin bhi jaise koi nahin ho
kisi ki monchhen jhuki hui hain
kisi ki banchhen khili hui hain
kisi ki taxi kisi ki foksi mili hui hain
kisi ke lab aur kisi ki aankhen sili hui hain
kisi ke kapDe phaTe hue hain
kisi ki pagDi chamak rahi hai
kisi ki rangat kisi ki Topi uDi hui hai
sharif nazren uTha uTha kar
kaman jismon pe apni wahshat ke tir kab se chala raha hai
nazir nazren chura raha hai
nafis apne cluff ki shiknon ko ro raha hai
hakim apne matab ke shishon ko dho raha hai
kisi ki aankhon ke dhundle shishon mein us ke mazi ki jhalkiyan hain
kisi ki aankhon mein aane wale hasin lamhon ki mastiyan hain
kisi ki aankhon mein rat-jagon ki kuchh arghawani si Doriyan hain
kisi ke kandhe pe us ke KHwabon ki boriyan hain
kabaD-KHane pe basi TukDon ki or kitabon ki boriyan hain
buzurg bargad ke niche buDha khaDa hua hai
aur us ke hathon mein tape lipTi hui chhaDi hai
police ki gaDi pikiT laga kar
saDak pe tirchhi khaDi hui hai
aur ek mazdur apna daman uThae be-bas khaDa hua hai
aur ek sipahi ki us ke nefe mein ungliyon ko ghuma raha hai
wahin pe shahid siyah chashma laga ke KHud ko chhupa raha hai
news channel ki chhoTi gaDi baDi KHabar ki talash mein hai
do sabzi wale bhi apni pheri laga rahe hain
to phul wale ke sar pe phulon ki Tokari hai
kisi ki aankhon mein naukri hai
kisi ki aankhon mein chhokri hai
waqar sar ko jhuka raha hai
faraaz khai mein ja raha hai
to gili cigarette ke kash laga kar
nawab rickshaw chala raha hai
salim kanni ghuma raha hai
wakil wardi mein ja raha hai
zamir baghlen baja raha hai
aur ek waiz bata raha hai
KHuda ko naraaz karne wale jahannami hain
KHuda ko raazi karo KHudara
KHuda ko raazi karo KHudara
aur us ke aage nasir akmal kamal shadab ghulam sare
nazar jhukae khaDe hue hain
ki chashm-e-bina agar kahin hai
to samjho patal tak gaDhi hai
kisi ko a-c KHaridna hai
kisi ko pi si KHaridna hai
kisi ki bas aur kisi ki bi-si nikal rahi hai
aqila KHala ke donon hathon mein aaTh thaile laTak rahe hain
aur aate jate sabhi musafir
unhen musalsal khaTak rahe hain
ziya andhere mein ja raha hai
gulab kachra jala raha hai
azim makkhi aDa raha hai
kalim guTka chaba raha hai
to ghanTa-package pe jaane kab se
fahim gappen laDa raha hai
sabaq musawat ka sikhane
wazir gaDi mein ja raha hai
sana nida ko nae latife suna rahi hai
hina hatheli ko takte takte purane raste se aa rahi hai
aur apni bhawaj ka hath thame
zubaida check-up ko ja rahi hai
wo apni nazren kabhi idhar ko kabhi adhar ko guma rahi hai
magar koi shai use musalsal bula rahi rahi hai
ajib ujlat ajib wahshat ajib ghaflat ka majra hai
kahun main kis se mere KHudaya ye kaisi KHilqat ka majra hai
ki apni masti mein mast ho kar
ye sab musafir guzar rahe
nae musafir ubhar rahe hain
saDak jahan thi wahin khaDi hai
magar haqiqat bahut baDi hai
saDak pe billi mari paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.