saDak ke donon taraf KHairiyat hai
āsmān ke ek kināre se
dūsre kināre tak uḌ rahī hai
rañg-birañgī maut
patañgoñ kī tarah bal khātī huī
jis kī Dor
galī ke manchale laḌkoñ ke hāthoñ meñ hai
bikharte chāñd kī
adh-jalī parchhā.īñ se bane rath par savār
jhūmte hue aate haiñ āvāra kutte
jo bhūñkte haiñ
kabhī dhīmī aur kabhī tez āvāz meñ
samajhdār log
khaḌe ho jaate haiñ saḌak ke donoñ taraf
sar jhukā kar
aasman ke ek kinare se
dusre kinare tak uD rahi hai
rang-birangi maut
patangon ki tarah bal khati hui
jis ki Dor
gali ke manchale laDkon ke hathon mein hai
bikharte chand ki
adh-jali parchhain se bane rath par sawar
jhumte hue aate hain aawara kutte
jo bhunkte hain
kabhi dhimi aur kabhi tez aawaz mein
samajhdar log
khaDe ho jate hain saDak ke donon taraf
sar jhuka kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.