saDak
saḌak be-dhaḌak ham-safar hai
chalī jā rahī hai ki bas manzil-e-shauq hadd-e-nazar hai
ka.ī ham-safar rah ga.e rāste meñ
magar ye ravāñ hai hamesha
shajar shahr naddī musāfir
har ik se use pyaar sā hai
milan ki ka.ī hasrateñ apne andar sameTe
kaḌe fāsloñ kī masāfat lapeTe
yūñhī leTe leTe
chalī jā rahī hai
sujhātī huī ham-safar ko
jahāñ bhī to ik rahguzar hai
saḌak be-dhaḌak ham-safar hai
saDak be-dhaDak ham-safar hai
chali ja rahi hai ki bas manzil-e-shauq hadd-e-nazar hai
kai ham-safar rah gae raste mein
magar ye rawan hai hamesha
shajar shahr naddi musafir
har ek se use pyar sa hai
milan ki kai hasraten apne andar sameTe
kaDe faslon ki masafat lapeTe
yunhi leTe leTe
chali ja rahi hai
sujhati hui ham-safar ko
jahan bhi to ek rahguzar hai
saDak be-dhaDak ham-safar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.