sadiyon ka taghaful
mujh ko hairat hai tumheñ yaad na aa.ī merī
duur jaate hue ik baar na muḌ kar dekhā
kitnī sadiyoñ ke taġhāful ne diyā thā ik pal
kaise mumkin hai guzar jaa.e vo aahaT ke binā
dil ne ik baar bhī kyuuñ dī na duhā.ī merī
baar tum ko na lagā mujh se judā ho jaanā
maiñ ye samjhī thī ki maiñ rah na sakūñgī tujh bin
tujh se duurī kā tasavvur thā bahut an-jānā
phir bhī maiñ ḳhush huuñ ki is kār-gah-e-duniyā meñ
tum se milne ke liye vaqt ne rasta to diyā
is qadar mujh pe mehrbān ye qudrat to huī
saath pal-bhar kā sahī saath to paayā terā
mujh ko hairat hai tumhein yaad na aai meri
dur jate hue ek bar na muD kar dekha
kitni sadiyon ke taghaful ne diya tha ek pal
kaise mumkin hai guzar jae wo aahaT ke bina
dil ne ek bar bhi kyun di na duhai meri
bar tum ko na laga mujh se juda ho jaana
main ye samjhi thi ki main rah na sakungi tujh bin
tujh se duri ka tasawwur tha bahut an-jaana
phir bhi main KHush hun ki is kar-gah-e-duniya mein
tum se milne ke liye waqt ne rasta to diya
is qadar mujh pe mehrban ye qudrat to hui
sath pal-bhar ka sahi sath to paya tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.