sadiyon se ajnabi
us kī qurbat meñ biite sab lamhe
merī yādoñ kā ek sarmāya
ḳhushbuoñ se bharā badan us kā
qābil-e-dīd bāñkpan us kā
sho.ala-afroz husn thā us kā
dilkashī kā vo ik namūna thī
mujh se jab ham-kalām hotī thī
ḳhvāhishoñ ke chaman meñ har jānib
chāhatoñ ke gulāb khilte the
us kī qurbat meñ aise lagtā thā
ik parī āsmāñ se utrī ho
jab kabhī maiñ ye pūchhtā us se
saath mere chalogī tum kab tak
mujh se qasmeñ uThā ke kahtī thī
tū agar mujh se duur ho jaa.e
ek pal bhī na jī sakūñgī maiñ
aaj vo jab judā huī mujh se
us ne to alvidā.a bhī na kahā
jaise sadiyoñ se ajnabī the ham
us ki qurbat mein bite sab lamhe
meri yaadon ka ek sarmaya
KHushbuon se bhara badan us ka
qabil-e-did bankpan us ka
shoala-afroz husn tha us ka
dilkashi ka wo ek namuna thi
mujh se jab ham-kalam hoti thi
KHwahishon ke chaman mein har jaanib
chahaton ke gulab khilte the
us ki qurbat mein aise lagta tha
ek pari aasman se utri ho
jab kabhi main ye puchhta us se
sath mere chalogi tum kab tak
mujh se qasmen uTha ke kahti thi
tu agar mujh se dur ho jae
ek pal bhi na ji sakungi main
aaj wo jab juda hui mujh se
us ne to alwidaa bhi na kaha
jaise sadiyon se ajnabi the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.