sadma
vo sola bahāroñ ke baad
dobāra milā hai
to kyā hai
ki muḳhtār ko dekh kar
merī āñkhoñ meñ
hairat ke āsār paidā hue
merā dil bujh gayā hai
vo ayyār
yāroñ kā yaar
apnā lahja isī tarah se narm-rez
aur nazar tez rakkhe
magar
us se kis ne kahā thā
ki ḳhushbū, sharāb aur aurat se
parhez rakkhe.......
wo sola bahaaron ke baad
dobara mila hai
to kya hai
ki muKHtar ko dekh kar
meri aankhon mein
hairat ke aasar paida hue
mera dil bujh gaya hai
wo ayyar
yaron ka yar
apna lahja isi tarah se narm-rez
aur nazar tez rakkhe
magar
us se kis ne kaha tha
ki KHushbu, sharab aur aurat se
parhez rakkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.