sadr darwaze pe muntazar
jaane kis kī lau kā partav
pal pal jaltī bujhtī āñkheñ
jaane kis kī madh bharī muskān kā hiila
Dāvāñ-Dol laraztī bastī
ik be ant sā aalam hai
ik paiham sī gardish hai
ik andhā sā haala hai
aur haale meñ gum-sum rūheñ
āgāhī kā bhārī patthar sar par uThā.e
adam-āgāhī ke mahloñ ke
dar khulne kī aashā bāñdhe
sadiyoñ se line meñ lagī haiñ
pahle kis kī muktī hogī
jaane kis ki lau ka partaw
pal pal jalti bujhti aankhen
jaane kis ki madh bhari muskan ka hila
Dawan-Dol larazti basti
ek be ant sa aalam hai
ek paiham si gardish hai
ek andha sa haala hai
aur haale mein gum-sum ruhen
aagahi ka bhaari patthar sar par uThae
adam-agahi ke mahlon ke
dar khulne ki aasha bandhe
sadiyon se line mein lagi hain
pahle kis ki mukti hogi
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 165)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.