nā-umīdī ye batātī hai ki shab kī chādar
āḳhirī chhor hai ki ḳhatm huā merā safar
tīrgī jiit ga.ī haar gayā nūr-e-nazar
dil ke kone meñ tabhī jaltī hai ik sham-e-yaqīñ
raat manzil bhī nahīñ miil kā patthar bhī nahīñ
ek ḳhāmosh sī āvāz meñ kuchh gaate haiñ
raat ke ḳhvāb jo jugnū kī tarah aate haiñ
sub.h ke hone meñ be-nūr se ho jaate haiñ
dil ke kone meñ tabhī jaltī hai ik sham-e-yaqīñ
raat manzil bhī nahīñ miil kā patthar bhī nahīñ
chāhe chaurāhe kī shobhā hoñ ki mandir meñ makīñ
but kahīñ bhī sajeñ patthar ke sivā kuchh bhī nahīñ
na koī laġhzish-e-pā un meñ gumāñ hai na yaqīñ
zindagī mahv-e-safar mahv-e-safar mahv-e-safar
har nafas miil kā patthar hai sar-e-rāhguzar
na-umidi ye batati hai ki shab ki chadar
aaKHiri chhor hai ki KHatm hua mera safar
tirgi jit gai haar gaya nur-e-nazar
dil ke kone mein tabhi jalti hai ek sham-e-yaqin
raat manzil bhi nahin mil ka patthar bhi nahin
ek KHamosh si aawaz mein kuchh gate hain
raat ke KHwab jo jugnu ki tarah aate hain
subh ke hone mein be-nur se ho jate hain
dil ke kone mein tabhi jalti hai ek sham-e-yaqin
raat manzil bhi nahin mil ka patthar bhi nahin
chahe chaurahe ki shobha hon ki mandir mein makin
but kahin bhi sajen patthar ke siwa kuchh bhi nahin
na koi laghzish-e-pa un mein guman hai na yaqin
zindagi mahw-e-safar mahw-e-safar mahw-e-safar
har nafas mil ka patthar hai sar-e-rahguzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.