safar aur musafir
hai kaThin bachcho ye jīvan kā safar
hai nihāyat pur-ḳhatar ik ik Dagar
rāhbar ke bhes meñ haiñ rāhzan
is safar kī haiñ fazā.eñ pur-fitan
āñdhiyāñ ġham kī uTheñgī har qadam
rakhnā apne hausloñ kā tum bharam
ġham ko sāñche meñ ḳhushī ke Dhālnā
har balā ko muskurā kar Tālnā
kārvāñ ko bhī parāyā māniye
is safar meñ ḳhud ko tanhā jāniye
thak ga.e hoñ to zarā sustā.iye
manziloñ kī samt phir baḌh jā.iye
chāhiye tum ko ḳhudī kī raushnī
hai musalsal ik safar ye zindagī
rahiye duniyā meñ musāfir kī tarah
dekhiye duniyā ko nāzir kī tarah
tum musāfir hī agar duniyā meñ ho
qadr bachcho vaqt kī karte raho
hote haiñ bachcho safar meñ tajarbe
log milte haiñ musāfir ko na.e
ik vasīla hai safar tafrīh kā
gūñjtī hai har taraf us kī sadā
ma.alūmāt afzā na ho kyuuñ kar safar
ho musāfir kī magar gahrī nazar
hai musāfir-ḳhāna ye duniyā suno
ham musāfir haiñ sabhī ai dosto
qaul tum apne buzurgoñ kā suno
is ke aamil ai mire bachcho bano
sub.h jaldī se safar par chal paḌo
shab se pahle ghar ko tum lauT aa.iyo
halkā kuchh sāmāñ safar meñ chāhiye
diid kā armāñ safar meñ chāhiye
zindagī meñ hai safar kā apnā rol
baḌhtā hai logoñ se bachcho mel-jol
in dinoñ apnā safar āsān hai
aur tayyāroñ pe apnā dhyān hai
tez hai apnī uḌānoñ kā asar
mintoñ meñ meloñ kā tai hogā safar
har musāfir ko safar se pyaar hai
azm kāmil ho to beḌā paar hai
rahtā hai 'hāfiz' safar meñ roz-o-shab
vo safar kā kartā hai dil se adab
hai kaThin bachcho ye jiwan ka safar
hai nihayat pur-KHatar ek ek Dagar
rahbar ke bhes mein hain rahzan
is safar ki hain fazaen pur-fitan
aandhiyan gham ki uThengi har qadam
rakhna apne hauslon ka tum bharam
gham ko sanche mein KHushi ke Dhaalna
har bala ko muskura kar Talna
karwan ko bhi paraya maniye
is safar mein KHud ko tanha jaaniye
thak gae hon to zara sustaiye
manzilon ki samt phir baDh jaiye
chahiye tum ko KHudi ki raushni
hai musalsal ek safar ye zindagi
rahiye duniya mein musafir ki tarah
dekhiye duniya ko nazir ki tarah
tum musafir hi agar duniya mein ho
qadr bachcho waqt ki karte raho
hote hain bachcho safar mein tajarbe
log milte hain musafir ko nae
ek wasila hai safar tafrih ka
gunjti hai har taraf us ki sada
malumat afza na ho kyun kar safar
ho musafir ki magar gahri nazar
hai musafir-KHana ye duniya suno
hum musafir hain sabhi ai dosto
qaul tum apne buzurgon ka suno
is ke aamil ai mere bachcho bano
subh jaldi se safar par chal paDo
shab se pahle ghar ko tum lauT aaiyo
halka kuchh saman safar mein chahiye
did ka arman safar mein chahiye
zindagi mein hai safar ka apna rol
baDhta hai logon se bachcho mel-jol
in dinon apna safar aasan hai
aur tayyaron pe apna dhyan hai
tez hai apni uDanon ka asar
minton mein melon ka tai hoga safar
har musafir ko safar se pyar hai
azm kaamil ho to beDa par hai
rahta hai 'hafiz' safar mein roz-o-shab
wo safar ka karta hai dil se adab
- Book : Gagar me.n Sagar (Pg. 12)
- Author : 2008
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.