safar diwar-e-girya ka
tumheñ is shahr se ruḳhsat hue
kitnā zamāna ho chukā phir bhī
abhī tak mere kamre meñ
tumhāre jism kī ḳhushbū kā Derā hai
ba-zāhir to tumhāre ba.ad abhī tak maiñ
bahut hī mutma.in
aur shānt lagtā huuñ
magar jab raat ke pichhle pahar
kamre meñ aatā huuñ
to jaane kyuuñ achānak
merī āñkhoñ meñ
namī sī tairne lagtī hai
palkeñ bhiig jaatī haiñ
aur us lamhe
na jaane kyuuñ mujhe shak sā guzartā hai
ajab ik vāhima sā
mere dil meñ sar uThātā hai
ki is vīrān kamre meñ
kahīñ dīvār-e-girya to nahīñ rakh dī kisī ne!
tumhein is shahr se ruKHsat hue
kitna zamana ho chuka phir bhi
abhi tak mere kamre mein
tumhaare jism ki KHushbu ka Dera hai
ba-zahir to tumhaare baad abhi tak main
bahut hi mutmain
aur shant lagta hun
magar jab raat ke pichhle pahar
kamre mein aata hun
to jaane kyun achanak
meri aankhon mein
nami si tairne lagti hai
palken bhig jati hain
aur us lamhe
na jaane kyun mujhe shak sa guzarta hai
ajab ek wahima sa
mere dil mein sar uThata hai
ki is viran kamre mein
kahin diwar-e-girya to nahin rakh di kisi ne!
- Book : Taawaan (Pg. 143)
- Author : Hasan Abbas Raza
- Publication : Doost Publications, Islamabad (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.