safar-e-aKHir-e-shab
bahut qarīb se aa.ī havā-e-dāman-e-gul
kisī ke rū-e-bahārīñ ne hāl-e-dil pūchhā
ki ai firāq kī rāteñ guzārne vaalo
ḳhumār-e-āḳhir-e-shab kā mizāj kaisā thā
tumhāre saath rahe kaun kaun se taare
siyāh raat meñ kis kis ne tum ko chhoḌ diyā
bichhaḌ ga.e ki daġhā de ga.e sharīk-e-safar
ulajh gayā ki vafā kā tilism TuuT gayā
nasīb ho gayā kis kis ko qurb-e-sultānī
mizāj kis kā yahāñ tak qalandarāna rahā
figār ho ga.e kāñToñ se pairahan kitne
zamīñ ko rashk-e-chaman kar gayā lahū kis kā
sunā.eñ yā na sunā.eñ hikāyat-e-shab-e-ġham
ki harf harf sahīfa hai, ashk ashk qalam
kin āñsuoñ se batā.eñ ki haal kaisā hai
bas is qadar hai ki jaise haiñ sarfarāz haiñ ham
satīza-kār rahe haiñ jahāñ bhī uljhe haiñ
shi.ār-e-rāh-e-zanāñ se musāfiroñ ke qadam
hazār dasht paḌe, laakh āftāb ubhre
jabīñ pe gard, palak par namī nahīñ aa.ī
kahāñ kahāñ na luTā kārvāñ faqīroñ kā
matā-e-dard meñ koī kamī nahīñ aa.ī
bahut qarib se aai hawa-e-daman-e-gul
kisi ke ru-e-bahaarin ne haal-e-dil puchha
ki ai firaq ki raaten guzarne walo
KHumar-e-aKHir-e-shab ka mizaj kaisa tha
tumhaare sath rahe kaun kaun se tare
siyah raat mein kis kis ne tum ko chhoD diya
bichhaD gae ki dagha de gae sharik-e-safar
ulajh gaya ki wafa ka tilism TuT gaya
nasib ho gaya kis kis ko qurb-e-sultani
mizaj kis ka yahan tak qalandarana raha
figar ho gae kanTon se pairahan kitne
zamin ko rashk-e-chaman kar gaya lahu kis ka
sunaen ya na sunaen hikayat-e-shab-e-gham
ki harf harf sahifa hai, ashk ashk qalam
kin aansuon se bataen ki haal kaisa hai
bas is qadar hai ki jaise hain sarfaraaz hain hum
satiza-kar rahe hain jahan bhi uljhe hain
shiar-e-rah-e-zanan se musafiron ke qadam
hazar dasht paDe, lakh aaftab ubhre
jabin pe gard, palak par nami nahin aai
kahan kahan na luTa karwan faqiron ka
mata-e-dard mein koi kami nahin aai
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Qaba-e-Saaz) (Pg. 54)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.