safar-e-na-tamam
zindagī kaun sī manzil pe rukī hai aa kar
aage chaltī bhī nahīñ
raah badaltī bhī nahīñ
sust-raftār hai ye daur-e-ubūrī kitnā
saḳht o be-jān hai vo paikar nuurī kitnā
chāñd ik ḳhvāb jo thā
shahr-e-ummīd tah-e-āb jo thā
husn ke māthe kā nanhā Tiikā
paa.e aadam ke tale aate hī
utre chehre kī tarah ho gayā kitnā phīkā
ham-junūñ kesh o tarah-dār hamesha ke jo the
bhāgte-sāyoñ ke pīchhe dauḌe
dāhne baa.eñ jo Dālīñ nazreñ
ho ke be-kaif haTā liiñ nazreñ
maut aflās jafā ayyārī
bhuut ifrīt chuḌeleñ ḳhvārī
nāchtī gaatī thiraktī hañstī
qahqahe gāliyāñ laḌtī Dastī
haDDiyāñ chūstī yarqān-zada lāshoñ kī
panjoñ meñ tār-e-kafan
shola dahan
bastī kī bastiyāñ jhulsātī huī
shahr pahuñchīñ to khule dar paa.e
chaḌh ga.iiñ sīḌhiyoñ par khaT khaT khaT
badan hone lage paT
le liyā dāñtoñ meñ shiryānoñ ko
vempā.er kī tarah
zindagī kaun sī manzil pe rukī hai aa kar
aage chaltī bhī nahīñ
raah badaltī bhī nahīñ
mas.ala ye hai ki ab is meñ pahal kaun kare
āsmāñ duur
zamīñ chuur
kahāñ jaa.e koī
kaash aise meñ chalā aa.e koī
dil-e-āshufta ko bahlā.e koī batlā.e koī
kis tarah phūTtī hai ḳhushk shajar meñ koñpal
zindagi kaun si manzil pe ruki hai aa kar
aage chalti bhi nahin
rah badalti bhi nahin
sust-raftar hai ye daur-e-uburi kitna
saKHt o be-jaan hai wo paikar nuri kitna
chand ek KHwab jo tha
shahr-e-ummid tah-e-ab jo tha
husn ke mathe ka nanha Tika
pae aadam ke tale aate hi
utre chehre ki tarah ho gaya kitna phika
ham-junun kesh o tarah-dar hamesha ke jo the
bhagte-sayon ke pichhe dauDe
dahne baen jo Dalin nazren
ho ke be-kaif haTa lin nazren
maut aflas jafa ayyari
bhut ifrit chuDelen KHwari
nachti gati thirakti hansti
qahqahe galiyan laDti Dasti
haDDiyan chusti yarqan-zada lashon ki
panjon mein tar-e-kafan
shola dahan
basti ki bastiyan jhulsati hui
shahr pahunchin to khule dar pae
chaDh gain siDhiyon par khaT khaT khaT
badan hone lage paT
le liya danton mein shiryanon ko
wempaer ki tarah
zindagi kaun si manzil pe ruki hai aa kar
aage chalti bhi nahin
rah badalti bhi nahin
masala ye hai ki ab is mein pahal kaun kare
aasman dur
zamin chur
kahan jae koi
kash aise mein chala aae koi
dil-e-ashufta ko bahlae koi batlae koi
kis tarah phuTti hai KHushk shajar mein konpal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.