safar
raat jab har chiiz ko chādar uḌhā de
Dhāñp le kaale paroñ meñ
aag lapToñ sī zabāneñ
azdahe jab apne andar band kar leñ
tab usī kaale samay meñ
tum gharoñ kī qabr se bāhar nikalnā
aur bastī ke kināre
ḳhvāb meñ ḳhāmosh bahte aadmī se
aa ke mujh ko DhūñDhnā
maiñ vahīñ tum sab se kuchh aage milūñgā
aur añdherā sā tumhāre aage aage maiñ chalūñgā
raushnī le kar chalūñgā to mujhe
tum se bhī pahle aur koī DhūñDh legā
raat jab har chiz ko chadar uDha de
Dhanp le kale paron mein
aag lapTon si zabanen
azdahe jab apne andar band kar len
tab usi kale samay mein
tum gharon ki qabr se bahar nikalna
aur basti ke kinare
KHwab mein KHamosh bahte aadmi se
aa ke mujh ko DhunDhna
main wahin tum sab se kuchh aage milunga
aur andhera sa tumhaare aage aage main chalunga
raushni le kar chalunga to mujhe
tum se bhi pahle aur koi DhunDh lega
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 545)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.