safar
gulābī havā aur niilī udāsī
ye kin jangaloñ kā safar hai
har ik samt kāñToñ bharī rahguzar hai
kahāñ kho ga.e haiñ gajak ke vo Thele
vo jāḌoñ kī rāteñ divālī ke mele
vo Topī vo baste
vo būḌhe muhāfiz vo kīchaḌ ke raste
vo barsātī naale vo mad.hosh bachche
vo kurtoñ kī jeboñ meñ amrūd kachche
vo pannī ke chashme vo miTTī ke bartan
vo bosīda kaḌiyoñ meñ chiḌiyoñ ke maskan
magar ab ye be-ma.anī be-rang manzar
ki phūloñ ke dāman meñ nokīle patthar
hayāt-e-musalsal ye kaisā safar hai
har ik samt kāñToñ bharī rahguzar hai
gulabi hawa aur nili udasi
ye kin jangalon ka safar hai
har ek samt kanTon bhari rahguzar hai
kahan kho gae hain gajak ke wo Thele
wo jaDon ki raaten diwali ke mele
wo Topi wo baste
wo buDhe muhafiz wo kichaD ke raste
wo barsati nale wo madhosh bachche
wo kurton ki jebon mein amrud kachche
wo panni ke chashme wo miTTi ke bartan
wo bosida kaDiyon mein chiDiyon ke maskan
magar ab ye be-mani be-rang manzar
ki phulon ke daman mein nokile patthar
hayat-e-musalsal ye kaisa safar hai
har ek samt kanTon bhari rahguzar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.