safar hai shart
Interesting Fact
(پاکستانی شاعروں، ادیبوں اور دوستوں کی نذر)
vo kaun the
sahāb the kitāb the
mire har ik savāl kā
javāb the
ki ḳhvāb the
vo kaun the
sitāre the
ki āsmāñ se raushnī liye hue
zamīñ pe aa ga.e the
mere vāste
vo kaun the
vo ham-qalam vo ham-zabāñ
vo ham-yaqīñ vo ham-gumāñ
vo ham-ḳhayāl o ham-bayāñ
vo yuuñ mile
ki jaise hāfize se yaad
jaise tishna miTTiyoñ se bārisheñ
ki jaise shaam ko parind
ghoñsloñ se jā mileñ
ki jaise reg-zār ko
amaañ mile hayāt kī
ki jaise merī zaat ko
azaañ milī ho zaat kī
vo yuuñ mile
to ai zamīn-o-āsmāñ ke nuur
mere mudda.ā
maiñ ḳhvāb dekhtā huuñ
DhūñDhtā bhī huuñ bashārateñ
unheñ bhī
ḳhvāb dekhne
nazar mile
yaqīn tarāshne gumāñ se bhāgne
hunar mile safar mile
vo zulm ho ki ḳhauf ho
vo zaḳhm ho ki choT ho
azaab yā itaab ho
inheñ bachā.e rakh
tū ai mire ḳhudā
maiñ jab milūñ to yuuñ milūñ
vo jab mileñ to yuuñ mileñ
ki jaise sub.h shaam se
koī ḳhud apne naam se
ki jaise dhuup chhāñv se
ġharīb-e-shahr gaañv se
ki jaise lab duāoñ se
vo yuuñ mileñ
maiñ yuuñ milūñ
mire ḳhudā
hai ye duā
yahī duā
wo kaun the
sahab the kitab the
mere har ek sawal ka
jawab the
ki KHwab the
wo kaun the
sitare the
ki aasman se raushni liye hue
zamin pe aa gae the
mere waste
wo kaun the
wo ham-qalam wo ham-zaban
wo ham-yaqin wo ham-guman
wo ham-KHayal o ham-bayan
wo yun mile
ki jaise hafize se yaad
jaise tishna miTTiyon se barishen
ki jaise sham ko parind
ghonslon se ja milen
ki jaise reg-zar ko
aman mile hayat ki
ki jaise meri zat ko
azan mili ho zat ki
wo yun mile
to ai zamin-o-asman ke nur
mere muddaa
main KHwab dekhta hun
DhunDhta bhi hun bashaaraten
unhen bhi
KHwab dekhne
nazar mile
yaqin tarashne guman se bhagne
hunar mile safar mile
wo zulm ho ki KHauf ho
wo zaKHm ho ki choT ho
azab ya itab ho
inhen bachae rakh
tu ai mere KHuda
main jab milun to yun milun
wo jab milen to yun milen
ki jaise subh sham se
koi KHud apne nam se
ki jaise dhup chhanw se
gharib-e-shahr ganw se
ki jaise lab duaon se
wo yun milen
main yun milun
mere KHuda
hai ye dua
yahi dua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.