safar la safar
vaqt kī zanjīr to kaT nahīñ saktī magar
khol ghaḌī do ghaḌī
qufl dar-e-zāt kā
ā.īna-e-zabt ko sañg-e-tamanna se toḌ
aur ḳhushī se bahā dil meñ rukā sail-e-dard
soch zarā der ko
gosht ke malbūs meñ piñjra haiñ ye pisliyāñ
jis ke ajab sehr meñ
qaid tirī ruuh kā tā.er-e-ḳhush-rañg hai
aañkh uThā kar to dekh
baazū kushāda kiye vo shajar-e-shash-jihat
kitne zamānoñ se hai sirf tirā muntazir
tā.er-e-ḳhush-rañg kī hamrahī-e-shauq meñ
pinjre samet uḌ zarā
hairat o imkān kī vādi-e-nā-muḳhtatim
lamhā-e-lā kī taraf
waqt ki zanjir to kaT nahin sakti magar
khol ghaDi do ghaDi
qufl dar-e-zat ka
aaina-e-zabt ko sang-e-tamanna se toD
aur KHushi se baha dil mein ruka sail-e-dard
soch zara der ko
gosht ke malbus mein pinjra hain ye pisliyan
jis ke ajab sehr mein
qaid teri ruh ka taer-e-KHush-rang hai
aankh uTha kar to dekh
bazu kushada kiye wo shajar-e-shash-jihat
kitne zamanon se hai sirf tera muntazir
taer-e-KHush-rang ki hamrahi-e-shauq mein
pinjre samet uD zara
hairat o imkan ki wadi-e-na-muKHtatim
lamha-e-la ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.