safar mudam safar
zamāne ke koh-e-girāñ kī surañgoñ meñ
jaltī huī mish.aleñ le ke
shaam o sahar DhūñDhtā huuñ
ki koī kiran koī rauzan koī mauj-e-bā-e-tāza
jo mil jaa.e maiñ māvarā-e-nazar kī jhalak pā sakūñ
is bhayānak añdhere meñ ghuTte hue jī ko bahlā sakūñ
maiñ jab pahlī baar in surañgoñ meñ dāḳhil huā thā
mujhe kyā ḳhabar thī yahāñ se mafar kī koī raah mumkin nahīñ
har daqīqa mujhe aur uljhā.egā
sīna-koh kī pech-dar-pech rāhoñ meñ
har pal kī parchhā.īñ tārīkiyoñ meñ izāfa karegī
mujhe kyā ḳhabar thī ki har aarzū mujh ko maqsūd se dūr-tar kar sakegī
magar mere dil meñ ye kaisī ḳhalish hai
ki har paspā.ī nau-ba-nau
mujh ko sa.ī-e-musalsal pe uksā rahī hai
surañgoñ kī vahshat nazar ke sharāroñ ko bhaḌkā rahī hai
mujhe justujū aage le jā rahī hai
zamane ke koh-e-giran ki surangon mein
jalti hui mishalen le ke
sham o sahar DhunDhta hun
ki koi kiran koi rauzan koi mauj-e-ba-e-taza
jo mil jae main mawara-e-nazar ki jhalak pa sakun
is bhayanak andhere mein ghuTte hue ji ko bahla sakun
main jab pahli bar in surangon mein daKHil hua tha
mujhe kya KHabar thi yahan se mafar ki koi rah mumkin nahin
har daqiqa mujhe aur uljhaega
sina-koh ki pech-dar-pech rahon mein
har pal ki parchhain tarikiyon mein izafa karegi
mujhe kya KHabar thi ki har aarzu mujh ko maqsud se dur-tar kar sakegi
magar mere dil mein ye kaisi KHalish hai
ki har paspai nau-ba-nau
mujh ko sai-e-musalsal pe uksa rahi hai
surangon ki wahshat nazar ke shararon ko bhaDka rahi hai
mujhe justuju aage le ja rahi hai
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.