safar nama
1
pecking
yuuñ gumāñ hotā hai baazū haiñ mire saath karoḌ
aur āfāq kī had tak mire tan kī had hai
dil mirā koh o daman dasht o chaman kī had hai
mere kiise meñ hai rātoñ kā siyah-fām jalāl
mere hāthoñ meñ hai sub.hoñ kī enān-e-gulgūñ
merī āġhosh meñ paltī hai ḳhudā.ī saarī
mere maqdūr meñ hai mojiza-e-kun-fayakūñ
2
xinjiang
ab koī tabl bajegā na koī shāh-savār
sub.h-dam maut kī vaadī ko ravāna hogā!
ab koī jañg na hogī na kabhī raat ga.e
ḳhuun kī aag ko ashkoñ se bujhānā hogā
koī dil dhaḌkegā shab bhar na kisī āñgan meñ
vahm manhūs parinde kī tarah aa.egā
sahm ḳhuñḳhār darinde kī tarah aa.egā
ab koī jañg na hogī mai-o-sāġhar laao
ḳhuuñ luTānā na kabhī ashk bahānā na hogā
sāqiyā! raqs koī raqs-e-sabā kī sūrat
mutribā! koī ġhazal rañg-e-hinā kī sūrat
1
pecking
yun guman hota hai bazu hain mere sath karoD
aur aafaq ki had tak mere tan ki had hai
dil mera koh o daman dasht o chaman ki had hai
mere kise mein hai raaton ka siyah-fam jalal
mere hathon mein hai subhon ki enan-e-gulgun
meri aaghosh mein palti hai KHudai sari
mere maqdur mein hai mojiza-e-kun-fayakun
2
xinjiang
ab koi tabl bajega na koi shah-sawar
subh-dam maut ki wadi ko rawana hoga!
ab koi jang na hogi na kabhi raat gae
KHun ki aag ko ashkon se bujhana hoga
koi dil dhaDkega shab bhar na kisi aangan mein
wahm manhus parinde ki tarah aaega
sahm KHunKHar darinde ki tarah aaega
ab koi jang na hogi mai-o-saghar lao
KHun luTana na kabhi ashk bahana na hoga
saqiya! raqs koi raqs-e-saba ki surat
mutriba! koi ghazal rang-e-hina ki surat
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 320-321)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.