safar nadiya ke pani ko wadiat hai
samundar sar jhukā.e bā nahīñ phailā.e hue
chup chaap baiThā hai
abhī kuchh der hī pahle talātum ḳhez maujeñ thiiñ
zamāna us kī Thokar par
samundar sar jhukā.e bā nahīñ phailā.e hue
chup-chāp baiThā hai
thakā-māñdā kisī haare khilāḌī kī tarah
lekin achānak hī kisī mānūs ḳhushbū ne
use chauñkā diyā hai
sāmne ma.asūm nadiyā
saañs roke dam-ba-ḳhud hairāñ
samundar kī udāsī dekhtī hai
mirī omā chalī aao
purānī riit sadiyoñ kī
nadī sāgar se miltī hai
sadā miltī rahegī
mirī azmat mirī vus.at
ki jis par naaz thā mujh ko
vo bas ik iltibās-e-vaqt thā
ab to mire paanī meñ gad-lāhaT hai
mire zā.iqe meñ khāre-pan kī
kaaT hai aisī
ki sairābī kisī bhī tishna-lab kī ho nahīñ saktī
faqat tū hī to pākīza
tire bahte hue paanī meñ vo tāsīr hai
jo saat qulzum kī kasāfat ko miTā Daale
mirī omā zamāna jhuuT hai
lekin to sachchā.ī
ye rishte aañkh kā dhokā
magar tū chashm-e-bīnā aur bīnā.ī
mahā-sāgar
tujh to yaad hai sachche zamānoñ se
mirā vo gungunātā rāsta
sīdhā tumhārī or aatā thā
magar tū kis qadar maġhrūr thā
terī ra.ūnat ne
faqat ik naañ ke buute par
mire alhaḌ bahāv ko vahīñ par rok Daalā thā
maiñ nadiyā thī
safar nadiyā ke paanī kī vadī.at hai
mujhe bahnā thā har sūrat kisī bhī taur chalnā thā
mudavvar ghāTiyoñ dilbar zamīnoñ aur maidānoñ ne
fayyāzī se mujh ko rāsta baḳhshā
mahā-sāgar
mujhe ab lauT jaanā hai
hasīñ sūraj kī kirnoñ se
milan kar ke abhī bādal banānā hai
mujhe chaTyal zamīnoñ garm maidānoñ ko
bhūrī ghāTiyoñ ko
saat rañgī peñg kā
ehsān lauTānā hai
bin jal ke jo dhartī hai
vahāñ sabz bichhānā hai
samundar sar jhukae ba nahin phailae hue
chup chap baiTha hai
abhi kuchh der hi pahle talatum KHez maujen thin
zamana us ki Thokar par
samundar sar jhukae ba nahin phailae hue
chup-chap baiTha hai
thaka-manda kisi haare khilaDi ki tarah
lekin achanak hi kisi manus KHushbu ne
use chaunka diya hai
samne masum nadiya
sans roke dam-ba-KHud hairan
samundar ki udasi dekhti hai
meri oma chali aao
purani rit sadiyon ki
nadi sagar se milti hai
sada milti rahegi
meri azmat meri wusat
ki jis par naz tha mujh ko
wo bas ek iltibas-e-waqt tha
ab to mere pani mein gad-lahaT hai
mere zaiqe mein khaare-pan ki
kaT hai aisi
ki sairabi kisi bhi tishna-lab ki ho nahin sakti
faqat tu hi to pakiza
tere bahte hue pani mein wo tasir hai
jo sat qulzum ki kasafat ko miTa Dale
meri oma zamana jhuT hai
lekin to sachchai
ye rishte aankh ka dhoka
magar tu chashm-e-bina aur binai
maha-sagar
tujh to yaad hai sachche zamanon se
mera wo gungunata rasta
sidha tumhaari or aata tha
magar tu kis qadar maghrur tha
teri raunat ne
faqat ek nan ke bute par
mere alhaD bahaw ko wahin par rok Dala tha
main nadiya thi
safar nadiya ke pani ki wadiat hai
mujhe bahna tha har surat kisi bhi taur chalna tha
mudawwar ghaTiyon dilbar zaminon aur maidanon ne
fayyazi se mujh ko rasta baKHsha
maha-sagar
mujhe ab lauT jaana hai
hasin suraj ki kirnon se
milan kar ke abhi baadal banana hai
mujhe chaTyal zaminon garm maidanon ko
bhuri ghaTiyon ko
sat rangi peng ka
ehsan lauTana hai
bin jal ke jo dharti hai
wahan sabz bichhana hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 117)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.