safar par safar
bayābān-o-sahrā ko maiñ zer kartā
chalā jā rahā huuñ
magar ye yaqīñ hai
ki tārīk āñkhoñ se parda haTegā
añdhere ujāloñ meñ tabdīl hoñge
nazar mujh ko aa.egā raushan sitāra
ki chāhat meñ jis kī
azal se zamīñ par
safar par safar tai kiye jā rahā huuñ
bayaban-o-sahra ko main zer karta
chala ja raha hun
magar ye yaqin hai
ki tarik aankhon se parda haTega
andhere ujalon mein tabdil honge
nazar mujh ko aaega raushan sitara
ki chahat mein jis ki
azal se zamin par
safar par safar tai kiye ja raha hun
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 23)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Nai Sadi Adabi Society, Varansi (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.