safar
ka.ī sar-zamīneñ sadā de rahī haiñ ki aao
ka.ī shahr mere ta.āqub meñ haiñ chīḳhte haiñ na jaao
ka.ī ghar lab-e-hāl se kah rahe haiñ
ki jab se ga.e ho
hameñ ek vīrān tanhā.ī ne Das liyā hai
palaT aao phir ham ko ābād kar do
vo sab ghar
vo sab shahr.... sab sar-zamīneñ
mohabbat kī chhoḌī huī rahguzar ban ga.ī haiñ
kabhī manzileñ thiiñ magar aaj gard-e-safar ban ga.ī haiñ
mohabbat safar hai
musalsal safar hai
so maiñ tujh se terī hī jānib safar kar rahā huuñ
kai sar-zaminen sada de rahi hain ki aao
kai shahr mere taaqub mein hain chiKHte hain na jao
kai ghar lab-e-haal se kah rahe hain
ki jab se gae ho
hamein ek viran tanhai ne Das liya hai
palaT aao phir hum ko aabaad kar do
wo sab ghar
wo sab shahr sab sar-zaminen
mohabbat ki chhoDi hui rahguzar ban gai hain
kabhi manzilen thin magar aaj gard-e-safar ban gai hain
mohabbat safar hai
musalsal safar hai
so main tujh se teri hi jaanib safar kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.