kitab gumrah kar rahi hai
kitāb gumrāh kar rahī hai
pa ik yaqīñ hai ki
itnī gumrāhiyoñ ke pīchhe
koī to ik raah hogī
jo manziloñ se nahīñ milegī
safar pe jo gāmzan rakhegī
ye shirk-e-kohna
safar kī vahdāniyat ko majrūh kar rahā hai
kahāñ kī manzil
kahāñ hai manzil
ye shirk ke haiñ sarāb saare
ham aap haiñ mahv-e-ḳhvāb saare
ye shirk afyūn ban ke ḳhuuñ meñ ghulā huā hai
hujūm-e-manzil meñ ab safar kī shanāḳht
ḳhud ek mas.ala hai
safar ḳhalā hai
ḳhalā meñ jo kuchh bhī ho natīja vahī ḳhalā hai
yahī ḳhalā hai!
ḳhalā ko manzil ke naqsh-e-pā se kasīf karne kā
ahmaqāna ḳhayāl chhoḌo
kitāb gumrāh kar rahī hai!
safar pe niklo
pa manziloñ ke muhīb sāyoñ kī zad se
ḳhud ko bachā.e rakkho
safar pe paañv jamā.e rakkho
ye sab vajūd o adam ke qisse
safar meñ taḳhlīq ho rahe haiñ
azal nahīñ hai abad nahīñ hai
ye ik safar hai ki had nahīñ hai
to kaise nā-had meñ
manziloñ kī hadeñ banā.eñ
ḳhalā ḳhalā ḳhalā.eñ
isī vajūd-e-ḳhalā meñ insāñ
vajūd-e-insān shirk-e-a.azam
ye ek nukta hai ism-e-āzam
kis ism-e-āzam kī justujū meñ
kitāb tasnīf ho rahī hai
kitāb tālīf ho rahī hai
vajūd-e-insāñ
kitāb tasnīf kar rahā hai
kitāb tālīf kar rahā hai
kitāb gumrāh kar rahī hai
kitab gumrah kar rahi hai
pa ek yaqin hai ki
itni gumrahiyon ke pichhe
koi to ek rah hogi
jo manzilon se nahin milegi
safar pe jo gamzan rakhegi
ye shirk-e-kohna
safar ki wahdaniyat ko majruh kar raha hai
kahan ki manzil
kahan hai manzil
ye shirk ke hain sarab sare
hum aap hain mahw-e-KHwab sare
ye shirk afyun ban ke KHun mein ghula hua hai
hujum-e-manzil mein ab safar ki shanaKHt
KHud ek masala hai
safar KHala hai
KHala mein jo kuchh bhi ho natija wahi KHala hai
yahi KHala hai!
KHala ko manzil ke naqsh-e-pa se kasif karne ka
ahmaqana KHayal chhoDo
kitab gumrah kar rahi hai!
safar pe niklo
pa manzilon ke muhib sayon ki zad se
KHud ko bachae rakkho
safar pe panw jamae rakkho
ye sab wajud o adam ke qisse
safar mein taKHliq ho rahe hain
azal nahin hai abad nahin hai
ye ek safar hai ki had nahin hai
to kaise na-had mein
manzilon ki haden banaen
KHala KHala KHalaen
isi wajud-e-KHala mein insan
wajud-e-insan shirk-e-azam
ye ek nukta hai ism-e-azam
kis ism-e-azam ki justuju mein
kitab tasnif ho rahi hai
kitab talif ho rahi hai
wajud-e-insan
kitab tasnif kar raha hai
kitab talif kar raha hai
kitab gumrah kar rahi hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 83)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.