safar
thakā haarā be-jān bādal kā TukḌā
daraḳhtoñ chaTānoñ se dāman bachātā
pahāḌī ke kohān se nīche utrā
bahut thak chukā thā
hazāroñ baras kī masāfat
hazāroñ baras tak bas ik dhan musallat
baḌhe aage baḌh kar
pahāḌoñ daraḳhtoñ nukīlī chaTānoñ
havā kī nihattī sisaktī huī
karb meñ Duubī chīḳhoñ ko
muTThī meñ le kar masal kar
baḌī sādgī se hañse muskurā.e
vo dhun ab kahāñ hai
vo nannhī sī ma.asūm sī muskurāhaT
ḳhamīda laboñ se phisal kar
hasīñ os ke shoḳh qatre ke mānind
ab ḳhaak par gir chukī hai
thakā haarā be-jān bādal kā TukḌā
daraḳhtoñ chaTānoñ se dāman bachātā
pahāḌī ke kohān se dam ba dam
gahre pur-haul khaD meñ agar jā rahā hai
to kyā hai
ye bādal kā TukḌā bahut thak chukā hai
bahut thak chukā hai
thaka haara be-jaan baadal ka TukDa
daraKHton chaTanon se daman bachata
pahaDi ke kohan se niche utra
bahut thak chuka tha
hazaron baras ki masafat
hazaron baras tak bas ek dhan musallat
baDhe aage baDh kar
pahaDon daraKHton nukili chaTanon
hawa ki nihatti sisakti hui
karb mein Dubi chiKHon ko
muTThi mein le kar masal kar
baDi sadgi se hanse muskurae
wo dhun ab kahan hai
wo nannhi si masum si muskurahaT
KHamida labon se phisal kar
hasin os ke shoKH qatre ke manind
ab KHak par gir chuki hai
thaka haara be-jaan baadal ka TukDa
daraKHton chaTanon se daman bachata
pahaDi ke kohan se dam ba dam
gahre pur-haul khaD mein agar ja raha hai
to kya hai
ye baadal ka TukDa bahut thak chuka hai
bahut thak chuka hai
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 140)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.