safed chhaDiyan
janam kā andhā
jo soch aur sach ke rāstoñ par
kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe
to ḳhvāb meñ bhī
azaab dekhe
ye shāhrāh-e-hayat jis par
hazār-hā qāfile ravāñ haiñ
sabhī kī āñkheñ
har ek kā dil
sabhī ke raste
sabhī kī manzil
isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ
tamām chehroñ kī dāstāñ meñ
na naam merā
na zaat merī
mirā qabīla
safed chhaḌiyāñ
janam ka andha
jo soch aur sach ke raston par
kabhi kabhi koi KHwab dekhe
to KHwab mein bhi
azab dekhe
ye shahrah-e-hayat jis par
hazar-ha qafile rawan hain
sabhi ki aankhen
har ek ka dil
sabhi ke raste
sabhi ki manzil
isi hujum-e-kashan-kashan mein
tamam chehron ki dastan mein
na nam mera
na zat meri
mera qabila
safed chhaDiyan
- Book : Kulliyat-e-Ahmad Faraz (Pg. 517)
- Author : Ahmad Faraz
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.