safed lamhe
ye raat kab tak ye chāñd kab tak
falak pe jalte charāġh kab tak
ye bazm-e-mai ye nashāt kab tak
agar rahe bhī ye sab jo qaa.em
to aadmī kī hayāt kab tak
chalo añdhere pukārte haiñ
chalo nasība bulā rahā hai
hameñ muqaddar pukārtā hai
ye sar ye siina ye dast-o-bāzū
ye jism saarā figār hai ab
na lafz-o-ma.anī na saut-o-naġhma
ye saarā daftar ujaḌ gayā hai
kisī kī mizrāb kho ga.ī hai
kisī kā barbat bigaḌ gayā hai
ye raat kab tak ye chand kab tak
falak pe jalte charagh kab tak
ye bazm-e-mai ye nashat kab tak
agar rahe bhi ye sab jo qaem
to aadmi ki hayat kab tak
chalo andhere pukarte hain
chalo nasiba bula raha hai
hamein muqaddar pukarta hai
ye sar ye sina ye dast-o-bazu
ye jism sara figar hai ab
na lafz-o-mani na saut-o-naghma
ye sara daftar ujaD gaya hai
kisi ki mizrab kho gai hai
kisi ka barbat bigaD gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.