safir-e-laila-1
safīr-e-lailā yahī khañDar haiñ jahāñ se āġhāz-e-dāstāñ hai
zarā sā baiTho to maiñ sunā.ūñ
fasīl-e-qarya ke surḳh patthar aur un pe azhdar-nishān burjeñ gavāh qarya kī azmatoñ kī
chahār jānib naḳhīl-e-tūbā aur us meñ bahte farāvāñ chashme
buland peḌoñ ke ThanDe saa.e the shāḳh-e-zaitūñ isī jagah thī
yahī sutūñ the jo dekhte ho paḌe haiñ murda giddhoñ ke mānind
uThā.e rakhte the in ke shāne aziim qasroñ kī sañgīñ saqfeñ
yahī vo dar haiñ safīr-e-lailā ki jin ke taḳhte uḌā liye haiñ dinoñ kī āvāra sarsaroñ ne
yahīñ se guzrī thiiñ surḳh ūñToñ kī vo qatāreñ
ki un kī pushteñ sanobaroñ ke safed pālān le ke chaltīñ
uThā.e phirtīñ javān pariyoñ kī mahmaloñ ko
ye sehan-e-qarya hai un jag.hoñ par ghanī khajūroñ kī sabz shāḳheñ
falak se taaza phaloñ ke ḳhoshe churā ke bhartī thiiñ pahluoñ meñ
safed paanī ke sau kueñ yuuñ bhare hue the
ki chauḌī mashkoñ ko haath bhar kī hī rassiyāñ thiiñ
mazāf-e-qarya meñ sabza-gāheñ aur in meñ chartī thiiñ farba bheḌeñ
shimāl-e-qarya meñ nīl-gā.eñ manār-e-masjid se dekhte the
pare hazāroñ kabūtaroñ ke fasīl-e-qarya se gumbadoñ tak
paroñ ko zoroñ se phaḌ.phaḌāte the aur sehnoñ meñ dauḌte the
yahīñ thā sab kuchh safīr-e-lailā
isī jagah par jahāñ babūloñ ke ḳhaar phirte haiñ chūhiyoñ kī savāriyoñ par
jahāñ parindoñ ko haul aate haiñ raakh uḌtī hai haDDiyoñ kī
yahī vo vahshat-sarā hai jis meñ diloñ kī āñkheñ laraz rahī haiñ
safīr-e-lailā tum aaj aa.e ho to batā.ūñ
tire musāfir yahāñ se nikle ufuq ke parbat se us taraf ko
vo aise nikle ki phir na aa.e
hazār kohna duā.eñ garche buzurg hoñToñ se uTh ke bām-e-falak pe pahuñchīñ
magar na aa.e
aur ab yahāñ par na koī mausam na bādaloñ ke shafīq saa.e
na sūrajoñ kī safed dhūpeñ
faqat sazā.eñ haiñ ūñgh-bhartī karīh chehroñ kī deviyāñ haiñ
safīr-e-lailā
yahāñ jo din haiñ vo din nahīñ haiñ
yahāñ kī rāteñ haiñ be-sitāra
sahar meñ koī namī nahīñ hai
safir-e-laila yahi khanDar hain jahan se aaghaz-e-dastan hai
zara sa baiTho to main sunaun
fasil-e-qarya ke surKH patthar aur un pe azhdar-nishan burjen gawah qarya ki azmaton ki
chahaar jaanib naKHil-e-tuba aur us mein bahte farawan chashme
buland peDon ke ThanDe sae the shaKH-e-zaitun isi jagah thi
yahi sutun the jo dekhte ho paDe hain murda giddhon ke manind
uThae rakhte the in ke shane azim qasron ki sangin saqfen
yahi wo dar hain safir-e-laila ki jin ke taKHte uDa liye hain dinon ki aawara sarsaron ne
yahin se guzri thin surKH unTon ki wo qataren
ki un ki pushten sanobaron ke safed palan le ke chaltin
uThae phirtin jawan pariyon ki mahmalon ko
ye sehan-e-qarya hai un jaghon par ghani khajuron ki sabz shaKHen
falak se taza phalon ke KHoshe chura ke bharti thin pahluon mein
safed pani ke sau kuen yun bhare hue the
ki chauDi mashkon ko hath bhar ki hi rassiyan thin
mazaf-e-qarya mein sabza-gahen aur in mein charti thin farba bheDen
shimal-e-qarya mein nil-gaen manar-e-masjid se dekhte the
pare hazaron kabutaron ke fasil-e-qarya se gumbadon tak
paron ko zoron se phaDphaDate the aur sehnon mein dauDte the
yahin tha sab kuchh safir-e-laila
isi jagah par jahan babulon ke KHar phirte hain chuhiyon ki sawariyon par
jahan parindon ko haul aate hain rakh uDti hai haDDiyon ki
yahi wo wahshat-sara hai jis mein dilon ki aankhen laraz rahi hain
safir-e-laila tum aaj aae ho to bataun
tere musafir yahan se nikle ufuq ke parbat se us taraf ko
wo aise nikle ki phir na aae
hazar kohna duaen garche buzurg honTon se uTh ke baam-e-falak pe pahunchin
magar na aae
aur ab yahan par na koi mausam na baadalon ke shafiq sae
na surajon ki safed dhupen
faqat sazaen hain ungh-bharti karih chehron ki dewiyan hain
safir-e-laila
yahan jo din hain wo din nahin hain
yahan ki raaten hain be-sitara
sahar mein koi nami nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.