sag-e-ham-safar aur main
sag-e-ham-safar aur maiñ
vahāñ aa ga.e haiñ
jahāñ ḳhatm hai kā.enāt
yahāñ se nasheb-e-zamān-o-makāñ kā agar jā.eza leñ
to lagtā hai jaise dhuñdlakoñ ke us paar
jo kuchh bhī hai Thiik hai
hasb-e-ma.amūl hai
mirā naam shenānDorā hai
maiñ kitnī sadiyoñ se us bahr-e-zaḳhḳhār meñ ḳhema-zan thā
jo mavvāj samt-e-digar meñ rahā
ek din
daf-e-āseb o raf-e-balā ke liye
kuchh pur-asrār fiqroñ kī gardān kartā huā
jāda-e-ḳhauf par gāmzan thā
maiñ apne shabistāñ kī jānib
ki ik larzish-e-nā-gahāñ se guzarnā paḌā
to andhe zamānoñ kī sahrā-navardī ke āḳhir meñ
vo ek tārīk lamha thā jab
sag-e-ham-safar aur maiñ
māñda o gursana
yahāñ is ilāqe meñ vārid hue
aur añdhere meñ kuchh fāsle par tirī raushnī dekh kar
raqs karne lage
sag-e-ham-safar aur maiñ
sag-e-ham-safar aur maiñ
sag-e-ham-safar aur main
wahan aa gae hain
jahan KHatm hai kaenat
yahan se nasheb-e-zaman-o-makan ka agar jaeza len
to lagta hai jaise dhundlakon ke us par
jo kuchh bhi hai Thik hai
hasb-e-mamul hai
mera nam shenanDora hai
main kitni sadiyon se us bahr-e-zaKHKHar mein KHema-zan tha
jo mawwaj samt-e-digar mein raha
ek din
daf-e-aseb o raf-e-bala ke liye
kuchh pur-asrar fiqron ki gardan karta hua
jada-e-KHauf par gamzan tha
main apne shabistan ki jaanib
ki ek larzish-e-na-gahan se guzarna paDa
to andhe zamanon ki sahra-nawardi ke aaKHir mein
wo ek tarik lamha tha jab
sag-e-ham-safar aur main
manda o gursana
yahan is ilaqe mein warid hue
aur andhere mein kuchh fasle par teri raushni dekh kar
raqs karne lage
sag-e-ham-safar aur main
sag-e-ham-safar aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.