sahaare
jhukī jhukī sī nazreñ
kyoñ haiñ
uḌī uḌī sī rangat kyoñ hai
chup chup kyoñ haiñ
ḳhauf ke maare
gum-sum kā kyoñ
ruup haiñ dhāre
ye ghar to
ham sab kā ghar hai
khulā huā
jis ghar kā dar hai
shāhoñ kā darbār nahīñ hai pīroñ kī dargāh nahīñ hai
māñgeñ ham
be-rok jo chāheñ
sab par ye darbār khulā hai
gore kaale
ek haiñ saare
raajā parjā haath pasāre
ham bhī kah deñ
jo kahnā hai
Darte kyoñ haiñ ye vo dar hai
jis ke aage
ek haiñ saare
jhūTe haiñ sab aur sahāre
jhuki jhuki si nazren
kyon hain
uDi uDi si rangat kyon hai
chup chup kyon hain
KHauf ke mare
gum-sum ka kyon
rup hain dhaare
ye ghar to
hum sab ka ghar hai
khula hua
jis ghar ka dar hai
shahon ka darbar nahin hai piron ki dargah nahin hai
mangen hum
be-rok jo chahen
sab par ye darbar khula hai
gore kale
ek hain sare
raja parja hath pasare
hum bhi kah den
jo kahna hai
Darte kyon hain ye wo dar hai
jis ke aage
ek hain sare
jhuTe hain sab aur sahaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.