ḳhāndān-e-gurūnānak kā dulārā tū hai
rashk ḳhurshīd kare aisā sitārā tū hai
husn-e-kirdār meñ aisā hai jamāl-e-tasḳhīr
jo bhī dekhe vo kahe sirf hamārā tū hai
shā.irī tire taḳhayyul kī rahegī muhtāj
mahfil-e-ilm-o-adab tujh se rahegī raushan
tire ash.ār-e-guhar-bār adab kī zīnat
naaz kartī hai tire naam pe lailā-e-suḳhan
tire afkār se nikhrā hai jamāl urdu kā
tirī taḳh.īl se lahkā hai fasāhat kā chaman
sher-o-naġhma haiñ tirī rāh-e-tavajjoh meñ bichhe
ḳhair-maqdam meñ tire rang pe hai rang-bhavan
shām-e-rañgīñ kī hasīñ chhāñv meñ ye jashn-e-‘sahar’
jaise jalvoñ meñ sajā.ī huī shahroñ dulhan
KHandan-e-gurunanak ka dulara tu hai
rashk KHurshid kare aisa sitara tu hai
husn-e-kirdar mein aisa hai jamal-e-tasKHir
jo bhi dekhe wo kahe sirf hamara tu hai
shairi tere taKHayyul ki rahegi muhtaj
mahfil-e-ilm-o-adab tujh se rahegi raushan
tere ashaar-e-guhar-bar adab ki zinat
naz karti hai tere nam pe laila-e-suKHan
tere afkar se nikhra hai jamal urdu ka
teri taKHil se lahka hai fasahat ka chaman
sher-o-naghma hain teri rah-e-tawajjoh mein bichhe
KHair-maqdam mein tere rang pe hai rang-bhawan
sham-e-rangin ki hasin chhanw mein ye jashn-e-‘sahar’
jaise jalwon mein sajai hui shahron dulhan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.