Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saheli

Saleem Hasani

saheli

Saleem Hasani

MORE BYSaleem Hasani

    Interesting Fact

    (لیجنڈری بالی وڈ اداکارہ وحیدہ رحمان کے لیے)

    sahelī

    maiñ kal-yug piiḌā gautam

    tapasyā ke taane hue jaal meñ

    sab bisāre hue

    apne nirvān meñ thā

    abhīmān meñ thā

    abhīmān kāran hai sab mūrakhtā

    maiñ tujh sundarī ko nahīñ dekh paayā

    shamā chāhtā huuñ

    badan kalā ko nahīñ jaan paayā

    shamā chāhtā huuñ

    mujhe is kalā koī ruup baḳhsho

    ye āñkheñ bhañveñ aur bāñheñ uThāo

    uThā kar girā do

    ye kal-yug miTā do

    mirī ḳhvāb bastī sab laḌkiyāñ

    jo guphā meñ nirāshā pathrā ga.ī haiñ

    sahelī tum aashā ke ghuñgrū pahan lo

    unheñ phir jagā do

    sahelī

    maiñ ānand ke lobh ek haT-dharm bālak

    mirī haT ke aage

    chandarmā jotī bansī bhī chup hai

    bas ik rain gup hai

    zarā reshmī laTeñ to uḌā do

    chhanā-chhan chhanā-chhan lorī sunā do

    mujhe tum sulā do mujhe tum sulā do

    sahelī maiñ kal-yug piiḌā gautam

    saheli

    main kal-yug ki piDa ka gautam

    tapasya ke tane hue jal mein

    sab bisare hue

    apne nirwan mein tha

    abhiman mein tha

    abhiman karan hai sab murakhta ka

    main tujh sundari ko nahin dekh paya

    shama chahta hun

    badan ki kala ko nahin jaan paya

    shama chahta hun

    mujhe is kala ka koi rup baKHsho

    ye aankhen bhanwen aur banhen uThao

    uTha kar gira do

    ye kal-yug miTa do

    meri KHwab basti ki sab laDkiyan

    jo gupha mein nirasha ki pathra gai hain

    saheli tum aasha ke ghungru pahan lo

    unhen phir jaga do

    saheli

    main aanand ke lobh ka ek haT-dharm baalak

    meri haT ke aage

    chandarma ki joti ki bansi bhi chup hai

    bas ek rain gup hai

    zara reshmi si laTen to uDa do

    chhana-chhan chhana-chhan ki lori suna do

    mujhe tum sula do mujhe tum sula do

    saheli main kal-yug ki piDa ka gautam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now