saheli
kis dhun meñ rahtī ho tum
uljhe hue bāloñ kī girheñ
tum se nahīñ sulajhtī kyā
laao inheñ maiñ suljhā duuñ
uun ke uljhe guchchhoñ se
ye baal tumhāre
suljhe to resham ho jaa.eñ
aur bāloñ ko suljhāne ke bahāne
jīvan kī uljhan suljhā.ūñ
ghane banoñ meñ shañkh bajā.ūñ
aur titlī ban kar uḌ jā.ūñ
shāḳhoñ ko maiñ raqs dikhā.ūñ
ek kāġhaz kī naav banā.ūñ
tujh ko duur bahā le jā.ūñ
aur tere dukh kī varshā meñ
antarman tak bhīgtī jā.ūñ
aa ajnabī sī laḌkī
maiñ terī bachpan kī sī sahelī ho jā.ūñ
kis dhun mein rahti ho tum
uljhe hue baalon ki girhen
tum se nahin sulajhti kya
lao inhen main suljha dun
un ke uljhe guchchhon se
ye baal tumhaare
suljhe to resham ho jaen
aur baalon ko suljhane ke bahane
jiwan ki uljhan suljhaun
ghane banon mein shankh bajaun
aur titli ban kar uD jaun
shaKHon ko main raqs dikhaun
ek kaghaz ki naw banaun
tujh ko dur baha le jaun
aur tere dukh ki warsha mein
antarman tak bhigti jaun
aa ajnabi si laDki
main teri bachpan ki si saheli ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.