sahra bhi zarKHez hote hain
sarmā kī jhaḌī
kisī purāne giit kī dhun kī tarah
zamīñ kā māthā chuum rahī thī
abrū-e-shams kī jumbish se
manzar-e-libās badalne lage
jab ashjār ne rangīñ ridā oḌhī
havā.eñ raqs kartī huiiñ
mausamoñ ke gale milīñ
sarsabzgī ke sahar se nikal kar
zamīñ kī vus.ateñ nāpte thal kī jānib mahv-e-safar huuñ
mujh pe vā huā
sahrā bhī zarḳhez hote haiñ
sarma ki jhaDi
kisi purane git ki dhun ki tarah
zamin ka matha chum rahi thi
abru-e-shams ki jumbish se
manzar-e-libas badalne lage
jab ashjar ne rangin rida oDhi
hawaen raqs karti huin
mausamon ke gale milin
sarsabzgi ke sahar se nikal kar
zamin ki wusaten napte thal ki jaanib mahw-e-safar hun
mujh pe wa hua
sahra bhi zarKHez hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.