sahra mein ek sham
dasht-e-be-naḳhīl meñ
bād-e-be-lihāz ne
aisī ḳhaak aḌaa.ī hai
kuchh bhī sūjhtā nahīñ
hausloñ kā sā.ebān
rāstoñ ke darmiyān
kis tarah ujaḌ gayā
kaun kab bichhaḌ gayā
koī pūchhtā nahīñ
fasl-e-e'tibār meñ
ātish-e-ġhubār se
ḳhema-e-duā jalā
dāman-e-vafā jalā
kis burī tarah jalā
phir bhī zindagī kā saath hai ki chhūTtā nahīñ
kuchh bhī sūjhtā nahīñ
koī pūchhtā nahīñ
aur zindagī kā saath hai ki chhūTtā nahīñ
dasht-e-be-naKHil mein
baad-e-be-lihaz ne
aisi KHak aDai hai
kuchh bhi sujhta nahin
hauslon ka saeban
raston ke darmiyan
kis tarah ujaD gaya
kaun kab bichhaD gaya
koi puchhta nahin
fasl-e-e'tibar mein
aatish-e-ghubar se
KHema-e-dua jala
daman-e-wafa jala
kis buri tarah jala
phir bhi zindagi ka sath hai ki chhuTta nahin
kuchh bhi sujhta nahin
koi puchhta nahin
aur zindagi ka sath hai ki chhuTta nahin
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 140)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.