sahra sahra
maiñ kyuuñ ik kamre meñ ik kursī par baiThā
apne andar chalte chalte thak jaatā huuñ
bachpan kī tasvīreñ yādeñ
ghuTne meñ jo choT lagī thī
haath se miTTī chhān ke bahte ḳhuun ko kaise rok liyā thā
vo maktab, college, daftar, ghar
ūbaḌ-khābaḌ raste
girte-paḌte kyā batlā.ūñ
kaise apne ghar aayā huuñ
kin bāzāroñ se guzrā huuñ
har chehra thā patthar kā
har dūkān thī shīshe kī
har dīvār se Takrāyā huuñ
ab apne zaḳhmoñ ko gintā huuñ
aur vo choTeñ kahāñ chhupī baiThī haiñ
jin kā lahū
andar hī andar bahtā hai
ik kursī par baiThā
dīvār-o-dar ko takte
ik kāġhaz par sahrā sahrā likhte
maiñ apne hī andar
chalte chalte thak jaatā huuñ...!
main kyun ek kamre mein ek kursi par baiTha
apne andar chalte chalte thak jata hun
bachpan ki taswiren yaaden
ghuTne mein jo choT lagi thi
hath se miTTi chhan ke bahte KHun ko kaise rok liya tha
wo maktab, college, daftar, ghar
ubaD-khabaD raste
girte-paDte kya batlaun
kaise apne ghar aaya hun
kin bazaron se guzra hun
har chehra tha patthar ka
har dukan thi shishe ki
har diwar se Takraya hun
ab apne zaKHmon ko ginta hun
aur wo choTen kahan chhupi baiThi hain
jin ka lahu
andar hi andar bahta hai
ek kursi par baiTha
diwar-o-dar ko takte
ek kaghaz par sahra sahra likhte
main apne hi andar
chalte chalte thak jata hun!
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.