sai-e-raegan
niDhāl ho kar
udaas lahje meñ
chāñd sūraj ye kah rahe the
na-jāne kab se
ham is jahāñ meñ
ujāle barsā rahe haiñ lekin
fasīl-e-zulmat
hanūz qaa.em hai is zamīñ par
phir is natīje pe donoñ pahuñche ki
zehn-e-insāñ ke taaq par
jab talak na hogā
charāġh raushan
hamārī koshish kā mā-hasal to
sifar hī hogā
niDhaal ho kar
udas lahje mein
chand suraj ye kah rahe the
na-jaane kab se
hum is jahan mein
ujale barsa rahe hain lekin
fasil-e-zulmat
hanuz qaem hai is zamin par
phir is natije pe donon pahunche ki
zehn-e-insan ke taq par
jab talak na hoga
charagh raushan
hamari koshish ka ma-hasal to
sifar hi hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.