sakta
agar vo marhala aa.e
havā jab saañs lenā bhuul jaa.e
musāfir chalte chalte ruk paḌe soche
mujhe ab kaun sī manzil ko jaanā hai
parinda āsmāñ par
dā.era-dar-dā.era uḌtā
safedī ke mahā-girdāb ke andar utar jaa.e
muñdī āñkhoñ meñ jab
ḳhvāboñ kā ik mauj-e-sāgar
ret kī shiknoñ meñ Dhal kar
ret ho jaa.e
agar vo marhala aa.e
to tum apnī nazar kī siidh meñ takte chale jaanā
faqat takte chale jaanā
usī māñjhe kī piilī Dor kī jānib
jo apnī ibtidā aur intihā ke
darmiyāñ
ik āḳhirī imkān ban kar rah ga.ī hai
agar wo marhala aae
hawa jab sans lena bhul jae
musafir chalte chalte ruk paDe soche
mujhe ab kaun si manzil ko jaana hai
parinda aasman par
daera-dar-daera uDta
safedi ke maha-girdab ke andar utar jae
mundi aankhon mein jab
KHwabon ka ek mauj-e-sagar
ret ki shiknon mein Dhal kar
ret ho jae
agar wo marhala aae
to tum apni nazar ki sidh mein takte chale jaana
faqat takte chale jaana
usi manjhe ki pili Dor ki jaanib
jo apni ibtida aur intiha ke
darmiyan
ek aaKHiri imkan ban kar rah gai hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 158)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999)
- Edition : Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.